Pritam Singh zinda rehne ka ek mauka sabko deta hai ... joh maan le toh theek, varna upar jaake rota hai
Sanjay Dutt
Bheenk mangni parti hain kanoon ke wafaadaron ko ... par maal khane ko milta hai desh ke gaddaron ko
Ishrat Ali
Dost harami ho toh aata hai maza ... aur premi harami ho toh jeevan ban jaye saza
Unknown
Jahan dekho ishq ke bimaar baithe hai ... lakhon mar gaye, saikadon taiyaar baithe hai
Shakti Kapoor
Jab jab is dharti pe Sita haran karne ke liye koi Ravan aayega ... tab tab Ram ka saath dene ke liye yeh Hanuman aayega
Jahan tum nahi hoti ho wahan only barbaadi hai ... kyun ki tum jahan bhi hoti ho wahin party ban jaati hai
Rishton ki mehak bhi le udhe paad ... ab baap pehda ho rahe hai beton ke baad
Paresh Rawal
Tere pyar mein lut gaye hum beech bazar mein ... nakad mohabbat khareed ke, dil rakh diya udhaar pe
Waqt rok sakti hoon, aakash ood sakti hoon ... zameen pee sakti hoon, maut modh sakti hoon ... tumhare prem mein kuch bhi kar sakti hoon
Kangana Ranaut
Kabhi dosti rahi, kabhi dushmani rahi ... apne ishq ki taqdeer thodi kam hi rahi ... har baar koshish ki, har baar manaya khud ko ... shayad in haathon ki kismat kuch kam hi rahi
Arbaaz Khan
Musafir hai hum aur kitne waqt beete hai ... abhe bhaad mein jaaye duniya, hum tafreeyon mein jeete hai
Khushi ke saath duniya mein hazaron gham bhi hote hai ... jahan bajhti hai shehnai wahan matam bhi hote hai
Keh raha hai dil yeh rangeela ... kab tak rahoonga tanha aur dheela ... aaj apne pyar ka pani barsakar ... dekh tujhe kaise karta hoon main bheega
Suresh Menon
Teri tasveer mein tujhse bhi ek khoob nirali hai ... lipat lo jitna jee chahe, na gussa hai na gaali hai
Rajendra Nath
Meri jaan tujhe mere haathon marna hai ... usko yaad karle jisse yaad karna hai
Amjad Khan
Petrol ka daam badta hai litre ke hisaab se ... auto waala kaise chalayega meter ke hisaab se
Johnny Lever
Joh main khana chahta hoon woh bazar mein milega nahi katan ... agar mangva sakte ho, do char mann gham mangvao foran
Johnny Walker
Mehfil lagi hai yahan mohabbat karne waalon ki ... koi lutta hai toh koi lootta hi hai ... dilon ke khel mein aksar kahin na kahin sheesha tootta hi hai
Naseeruddin Shah
Pooche joh koi mujhse bahaar kaisi hoti hai ... naam tera leke keh doon yaar aaisi hoti hai
Rajendra Kumar
Meri mohabbat ka tum yakeen karlo ... kahin na umar guzar jaye aazmane mein
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory