Dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main ... kitna haseen gunah kiye ja raha hoon main
Rakesh Bedi
Aapke anurodh pe main yeh geet sunata hoon ... apne dil ki baaton se aapka dil behlata hoon
Rajesh Khanna
Ye ada jaane tamanna aap se seekhe koi ... jaankar anjaan banna aap se seekhe koi
Helen
Yeh ajeeb sa khela hai ... haan aur na ka mela hai ... shakkar ka daana kabhi karela hai ... kabhi Savita, kabhi Sunita, kabhi Bela hai
Unknown
Wahan ka zarra zarra apni halat par salamat hai ... tumhare ek na hone se wahan lekin qayamat hai
Rajendra Kumar
Na hai shikwa kisi ko kisi se yahan, na hai kisi pe kisi ka zor ... jinko apna samajhte hai hum aksar, wahi nikalte hai koi aur
Kareena Kapoor
Hai bas ki har ek unke ishaare mein nishaan aur ... karte hai mohabbat toh guzarta hai gumaan aur ... yaa rab na woh samjhe hai na samjhenge meri baat ... de aur dil unko joh na de mujhko zubaan aur
Bharat Bhushan
Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye the lekin ... bahut beabroo hokar tere kooche se hum nikle
Mazloomon ke liye dhaal hai hum, dushmanon ke liye kaal hai hum ... awaaz se duniya tharaye, woh Guru Gobind Singh ke lal hai hum
Aditya Pancholi
Do suiyon ke beech zindagi kya kya khel dikhaye ... naya purana natak karta waqt guzarta jaye
Raj Kapoor
Hawa tezz ho toh stir vriksha bhi hilta hai ... yahan joh sarva sreshta hai, wohi tikta hai
Amole Gupte
Maine tujhko pyar kiya, tere baap ne mujhko peeta ... tann ki shakti, mann ki shakti Bournvita
Rajpal Yadav
Sari umar gavah di kamane mein paisa ... aur bad mein yahi saala paisa ban gaya apne dushman jaisa
Kader Khan
Bheek maange se aadmi zaleel aur zaar hota hai ... aur nikal jaye jis phool se khushbo, woh phool bekaar hota hai
Govinda
Aukaad kya hai tum jaise tinke ki, aandhi toofan ke bhi rukh modh diye jaate hai ... jin mein ho jaata hai andaaz-e-khudai pehda, humne dekha hai ki woh bhut todh diye jaate hai
Raza Murad
Kahin sher aur nagma bankar, kahin aasoonyon mein dhalkar ... woh mile mujhe toh e-dil, kahin sooratein badalkar
Manoj Kumar
Saj gaye hum lute hue sajinda jaise behte hai ... aur yaar gaye magar hum besharam zinda jaise behte hai
Piyush Mishra
Abhi aaye, abhi behte, abhi daaman sambhala hai ... tumhari aulad bhi kya yaad karegi, ki chacha ne kya dum nikala hai
Jaise taise taalo isse ... lula landa jahan koi mil jaaye haath peele karo, nikalo isse
Pran
Jaane kya badalon ke darmiyan saazish hui ... uska ghar mitti ka tha, uske hi ghar baarish hui
Sonu Walia
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory