Parbat bola main bada main bada main bada ... sar ooncha kiye sarhad par khada ... bakht bola tu kaise bada ... tere shikhar par toh bhagwan Shankar khada
Govinda
Mera muhafiz hai khuda, toh phir hai kaun joh mujhko utha sake ... teri kya aukaad hai, joh jahaan se mujhe mitta sake
Sunny Deol
Kadam sambhal ke chalna toh subah bajegi khushiyon ki shehnai ... varna phir tu, tera takiya, aur teri tanhai
Abhay Deol
Jigar ki chot hai aye dost, dauraahi nahi jaati ... lapat hai aag ki, hoton pe phir laayi nahi jaati
Raza Murad
Naseeb insaan ka banta hai thokarein khane ke baad ... aur rang lati hai henna patthar pe pis jaane ke baad
Amitabh Bachchan
Dil gaya toh gaya hosh bhi udh gaye, ek naya inquilaab aane ko hai ... apni kafir nighaon ko roko zara, mera imaan dagmagane ko hai
Kabir Bedi
Aadhi raat ko bulana, subah tak zaroor aaonga yeh meri arz hai ... shehar mein shanti aur nagriko ki seva karna mera farz hai
Anupam Kher
Bomb ke phatne se dhamaka nikalta hai, patloon ke phatne se dhaga nikalta hai ... aur air condition kamre mein agar kisi ki phatti hai toh ... paseena nikalta hai
Ajay Devgan
Hai liye hathyar dushman taak mein baitha udhar ... aur hum taiyaar hai seena liye apna idhar ... khoon se khelenge Holi, ghar watan mushkil mein hai ... sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Sharad Kelkar
Bhuji ko raakh kehte hai, jali ko aag kehte hai ... jisne tumhe bachaya usse Lallan ka dimaag kehte hai
Ritesh Deshmukh
Mutthi mein band hai maut ka khel ... dekh raha hai tujhe aasmaan se sohail
Arshad Warsi
Chalti chakki dekh kar, diya kabira roye ... do paatan ke beech mein, sabit bacha na koye
Unknown
Aasmaan ka rang aankhon mein leke utri hai ek videshi apsara ... pighal rahi hai baraf, pighal raha hai ek brahmachari ka dil zara zara ... kahin aisa toh nahi ki saawan ke andhe ko dikhta ho sab hara hara
Farishtey hi honge jinka hua ishq muqammal ... insaano ko toh humne sirf barbaad hote dekha hai
Adhyayan Suman
Ab ke hum bichre toh shayad kabhi khwabon mein mile ... jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein mile
Karisma Kapoor
Zinda rakhna chahe woh toh koi fanaa kar nahi sakta ... aur in gunehgaron ko aaj tabahi se koi bacha nahi sakta
Kader Khan
Husn kehte hai unhe, noor ka shola woh hai ... joh kabhi door se chamka tha, woh jalwa woh hai
Sadhana Shivdasani
Watan pe mitne waalon ki yun khatam nahi hoti kahaniyan ... hum mein toh phir bhi yaad rakhegi duniya, nahi rahengi tumhari nishaaniyan
Mukesh Khanna
Yeh veer kitne mahaan hai jinhone is desh ki mahaanta ko adarsh ka roop diya ... mahaan hai yeh desh jis mein aaise veeron ne janam liya
Nahalo, dholo, nikalo kitna bhi mail badan ka ... phir bhi na nikle mail badan ka, kyun ki yeh pani hai jail ka
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory