Mohabbat ki bebasi ko kah kahe mere dost ... ki baanh mein koi aur hai aur chah mein koi aur
Aparshakti Khurana
Hamari bewakoofi thi joh unse dil lagaya tha ... zamane se begaari thi unhe apna banaya tha ... jinhe humne haar samjha tha gala apna sajane ko ... ur woh kaala naag ban baithe hum hi ko kaat khane ko
Unknown
Kitna pyar hai tumse yeh jaan lo ... tum hi zindagi ho meri is baat ko maan lo ... tumhe dene ko mere paas kuch bhi nahi ... bas ek jaan hai, jab jee chahe maang lo
Sara Loren
Husn pariyon se chamak chaand se laya hoga ... shabhnami phoolon se honthon ko sajaya hoga ... zulf bhikre toh ghattaon ko paseena aaye ... badi fursat se tujhe rab ne banaya hoga
Kal mila waqt toh zulfein teri suljha doonga ... aaj uljha hoon halaat ke suljhane mein
Amjad Khan
Ulte seedhe daanv lagaye ... hans hans phenka paasa ... arre bhagya ki chaal bhi dekh deewane ... kaisa tujhko phaansa
Waheeda Rehman
Bahut kam baha khoon zameeno ki khatir ... katte sar hazaron haseeno ki khatir
Raaj Kumar
Zindagi se joh kasmasaya ho ... jisko marna hi raas aaya ho ... woh but-e-bewafa se pyar kare jisko kutte ne kaat khaya ho
Johnny Walker
Sapno ko bikharte dekha hai yahan ... umeedo ko simatte dekha hai yahan ... suna hai yahan bighade huon ko sudharte hai ... magar sudhre hue ko bighadte dekha hai yahan
Aaj sheeshay mein bar bar unhe dil ki moorat dikhai deti hai ... apni soorat nazar nahi aati, meri soorat dikhai deti hai
Shashi Kapoor
Mujhko meri awaaz sunai nahi deti ... kaisa yeh mere jism mein ek shor macha hai
Arun Bakshi
Hamere baad mehfil mein afsane bayan honge ... baharen humko dhoondengi, na jaane hum kahan honge
Nana Patekar
Chaukidar kare chaukidari, wafaadari toh kutta bhi karta hai ... joh kare biwi se bewafai, usse wafaa toh kutta bhi nahi karta hai
Sanjay Dutt
Seeti bajhi rail ki alert ho jaiye ... ticket katti aapki, seedha upar jaiye
Ranveer Singh
Sabak wafaa ka sikhaya bhi ja nahi sakta ... joh seekh lo toh bhulaya bhi ja nahi sakta .. yeh haseen dard dil mein chupaya bhi ja nahi sakta ... aur koi pooche toh bataya bhi ja nahi sakta
Govinda
Lamhon ko toh guzarna hoga, aandhi ko toh chalna hoga ... main ek khayal hoon mujhe jaane do, khayal ka haath kaun pakadta hai
Preity Zinta
Hai aur bhi duniya mein sukhanavar bahut achche ... kehte hai ki Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur
Bharat Bhushan
Vaada toh phir vaada hai, main zehar bhi pee jaon katil ... sharat bas itni hai, koi baahon mein samah le mujhko
Vijay Raaz
Banegi ek nayi tareekh, surkhiyon mein likhega zamana ... apne watan ke khatir, jaan par khel gaya Parwana
Ajay Devgan
Petrol ka bhav ho assi, nabbe ya poore sau ... lakhon gadiyan road pe aaye bajhte hi nau
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory