Maine kisi devta ko nahi dekha ... par tumhe dekh ke aaisa lagta hai ki woh tumse alag nahi hoga
Avtar Gill
Dada toh is duniya mein sirf do hain ... ek upar waala aur doosre hum
Raaj Kumar
Na Hinduo se hai, na Musalmano se hai ... is mulk mein taqleef baimaano se hai
Sunil Shetty
Namaaz mein woh thi ... par laga dua hamari manzoor ho gayi
Dhanush
Sharaab peene de masjid mein bahetkar ghalib ... yah woh jagah dikha de jahan khuda na ho
Rishi Kapoor
Jab tak swarg mein devta nahi hota ... swarg, swarg nahi hota hai
Govinda
Insaaniyat ka mazhab har mazhab se ooncha hota hai
Sunny Deol
Ramchandra keh gaye Natwar se aaisa kalyug aayega ... dance bar mein raas rachega, casino mein lut jayega
Paresh Rawal
Main Krishna hoon is liye chamatkar karta hoon ... chamatkar karta hoon is liye Krishna nahin hoon
Akshay Kumar
Maut ko dekha pairon ki dhool ki tarah ... taqdeer ko thukrane wale sultan ki tarah ... chingaari pair se dabake dhaar-dhaar khanjar pe chalke ... dil mein joh dar utha usse maarke ... jigar walo ki fauj bankar dushman pe chha gaya ... kaal ka karne vinaash mahakaal aa gaya
Unknown
Bhagwan ke bharose mat baithye ... kya pata bhagwan humre bharose baitha ho
Nawazuddin Siddiqui
Pattharon ki is duniya mein devta banna toh bahut aasaan hai ... insaan banna bahut mushkil
Izzat, zillat, shohrat aur maut ... upar waale ke haath mein hai
Mithun Chakraborty
Upar waala bhi upar se dekhta hoga toh usse sharam aati hogi ... sochta hoga maine sabse khoobsurat cheez banayi thi, insaan ... neeche dekha toh sab keede ban gaye ... keede!
Nana Patekar
Zindagi toh khuda ki rehmat hai ... joh nahi samjha uski zindagi pe laanat hai
Kader Khan
Rishta upar waala banata hai ... neeche waale taang adhate hai
John Abraham
Kaun Hindu, kaun Musalman ... thappa kidhar hai dikha ... ye farak bhagwan nahi tum log banaya hai ... aur yahi is gola ka sabse danger wrong number hai
Aamir Khan
Mujhse joh dushmani modh leta hai ... uspe uparwaala reham toh kar deta hai, magar main nahi
Salman Khan
Har dharam mohabbat sikhata hai ... par mohabbat ka toh koi dharam nahi hota ... woh khud apne aap mein ek dharam hai
Na Hindu bura hai ... na hi Sikh, Isai, Musalman bura hai ... burai pe utar aaye woh insaan bura hai
Gurmeet Ram Rahim Singh
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory