Pyar hum dono ne kiya ... magar tadapna sirf mere naseeb mein aaya
Govinda
Mohabaat ka dard bada jaan leva hota hai
Paal le koi rog nadan zindagi ke vaaste ... sirf sehat ke sahare zindagi katti nahi
Mujh jaise dost baat maar sakte hai ... magar kabhi laat nahi maar sakte
Mujhko lambi umar ki dua na do ... jitni ghuzri nagawar ghuzri
Yeh India hai India ... yahan par aurat deewar se toh gir sakti hai ... magar apne mayaan se nahi
Bhare saawan mein reghistaan lagta hai ... yeh ghar mera khali makaan lagta hai
Jab maine apne dil mein rehne waalon ke jaane ka afsoos nahin kiya ... toh ghar se jaane waalon ki parvah kya karoonga
Gham se khali nahi jism ka kona koi ... hum rahe na rahe, hum pe mat rona koi
Auron ke liye gunaah sahi ... hum piye toh shabaab banti hai ... arre sau ghamo ko nichodne ke baad ... ek katra sharaab banti hai
Kader Khan
Maine kabhi tumhare jism se nahin ... tumhari aatma se pyar kiya
Mohabbat ko samajhna hai agar toh dariya mein kuda kar ... kyun ki kinare pe ukhudu bahetne se andaaz-e-toofan nahi hota
Kispe kare yakeen, kisse kare gilla ... mere naseeb ne mera yeh haal kar diya
Jitni tumhari saal bhar ki kamai hai ... utne rupaiy ke surf aur sabun se ... meri haveli ke farsh dhoye jaate hai
Zindagi toh khuda ki rehmat hai ... joh nahi samjha uski zindagi pe laanat hai
Aurat us waqt tak Sita Savitri hoti hai, jab tak uska pati Ram aur Satyavan hota hai ... jis din yeh maryada tootti hai na, aurat ek aaisa uljha hua sawaal ban jaati hai ... jisse koi mard suljha nahi sakta
Mamta Kulkarni
Zindagi ke faisle naseeb karta hai ... maa baap nahi
Ladki toh hoti hi hai tyag ka zehar peene ke liye
Koi mard kisi kulta ke maang mein apne naam ka sindoor bardaasht nahi kar sakta
Rahul Roy
Kisi shaitan ki di hui saugaat se ... kisi insaan ki di hui khairaat zyada achchi hai
Yeh kaide kanoon ... hum gareebo ko insaaf dilane ke liye nahi ... balki ameero ki sahuliyat ke liye hai
Saeed Jaffrey
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory