Mehengi sirf cheezein hi nahi hoti balki uske saath sab kuch mehenga ho jaata hai ... rishta bhi, naata bhi, pyar bhi, hasi bhi
Sanjay Mishra
Sauda keemat se nahi dimaag se hota hai
Unknown
Stall ka pachees, balcony ka pachaas ... ek ticket bacha hai, baki sab khallas
Akshay Kumar
Sari umar gavah di kamane mein paisa ... aur bad mein yahi saala paisa ban gaya apne dushman jaisa
Kader Khan
Zindagi sirf pyar par nahi palti ... zindagi chalane ke liye paisa chahiye, aaram chahiye, rutba chahiye
Amrish Puri
Jahan lakshya hona chahiye tha khabarein ... aur maadhayam hona chahiye tha paisa ... wahan aaj paisa ban gaya hai lakshya ... aur khabarein keval maadhayam
Amitabh Bachchan
Terrorism dhanda hai ... it has nothing to do with drama of azaadi ... but it has everything to do with money
Yami Gautam
Is duniya mein paisa nahi toh kuch nahi ... baap ki shafqat paisa, maa ki mamta paisa, aurat ka pyar paisa ... paisa, paisa, paisa
Dev Anand
Lakshmi darwaaze par hoti hai aur badnaseeb insaan mooh dhone gaya hota hai ... lekin yahan toh saala yeh hugne gaya tha
Rajpal Yadav
Main un netaon mein se nahi hoon joh vote lene ke liye note baantte hai ... aur vote mil jaane ke baad noton mein ulajh jaate hai
Daulat ki bisat par joh jua tumne khela tha us mein pehli chaal tumne chali thi ... ab meri bari hai
Ranjeet
Aadmi janam se juari hota hai ... taqdeer ki baat hai ki kuch log jua mein sab kuch haar jaate hai aur kuch log crorepati ban jaate hai
Sadashiv Amrapurkar
Tumhare dil ki, mere dil ki, sari duniya ke dil ki ek hi awaaz hai ... rupaiya, rupaiya, rupaiya
Yeh batting ka nahi, betting ka zamana hai ... aaj kal khelne ka kam, out hone ka zyada paisa milta hai
Kutte ke aage haddi aur gareeb ke aage paisa ... jab daal diya jaata hai toh woh dumm hilane lagta hai
Kanoon kehta hai ki karz agar purana ho jaye ... toh usse chukane ki koi zaroorat nahi
Om Prakash
Yeh joh paisa hota hai na, iske paon nahi hote hai ... lekin paon waale se sau gunah zyada tezz bhaagta hai
Shakti Kapoor
Rupaiyon mein woh taqat hai ... ki imaandar se imaandar insaan ki bhi neeyat bighadte derr nahi lagti
Rajeev Verma
Ab tak toh paison ke liye maine paseena bahaya tha ... aaj tumne mera khoon bhi bhaha diya
Ritesh Deshmukh
Sharaab khareedne waale rupaiye toh mere paas bahut hai ... haan dawa khareedne waale rupaiye mere paas nahi hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory