Aap bhi itna samajh le mujhko samjhane ke baad ... aadmi majboor ho jaata hai dil aane ke baad
Dar badar sarr patakne se bhala kya hoga ... wahi hoga joh taqdeer mein likha hoga
Dil bada hona badi khatarnak baat hai
Hawa hi aaisi chali hai ki jee bahal nahi ... varna hum toh bahut kam udaas rehte hai
Is duniya mein rehna hai ... toh judaai ki aadat dalni hi padti hai
Is umar mein toh mann mein masti hoti hai, dil mein ek tarang hoti hai aur seene mein armaan hote hai ... tujhe kuch nahi hota?
Is duniya mein insaan do baar janam leta hai ... ek baar maa ki kok se pehda hokar ghar aata hai ... aur doosri baar ghar se nikalkar duniya mein jaata hai
Aurat ganne ka ras nikalne waali machine ki tarah hai ... joh mard ko khokla bana deti hai
Hindustani jab desi peeta hai toh angrezi bolta hai
Kanoon kehta hai ki karz agar purana ho jaye ... toh usse chukane ki koi zaroorat nahi
Mazhab aur karobar do alag alag cheezein hai ... inko mix karne waala hamesha bhookha marta hai
Insaan jab aadmiyon se mayoos ho jaata hai ... toh phir kutte aur billiyon se pyar karne lagta hai
Hai dekhkar aaina hairat ho gayi ... meri soorat unki soorat ho gayi
Kavita toh atma ki khuraakh hoti hai ... achcha sher sunne ya kehne se dil aur dimaag saaf ho jaate hai
Aadmi ke paon mein agar koi zanjeer na ho toh uske liye ghar aur bahar, done ek se hai
Agar aadmi ko galati karne ka adhikar hai ... toh galati karke pachtane ka haq bhi hai
Koi bhi pauda itni jaldi bada nahi hota jitni jaldi ke ladki
Zinda rehne ke liye apne sivah kisi aur ka hona bilkul zaroori nahi hai ... aadmi jinke saath jeena chahta hai woh unke bagair bhi jee sakta hai
Zindagi bhar nahi bhoolegi woh barsaat ki raat ... maine jab pakda tha kambakht teri saas ka haath
Mohabbat ek tam-tam hai joh daudai nahi jaati ... bhadak uthti hai apne aap hi, bhadkai nahi jaati
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory