Paise se dushmani badh sakti hai ... pan dushmani se paisa nahi badh sakta
Unknown
Dhan ko, hukumat ko mutthi mein rakhkar raj karne waale ameeron ko agar khatam kar diya jaye ... toh is duniya se ameeri aur gareebi ka farak hamesha hamesha ke liye khatam ho jayega
Shatrughan Sinha
Bindi rakam ke aage lage toh rakam dus gunah badh jaati hai ... aur ladki ke maathe pe lage toh uski khoobsurati hazar gunah badh jaati hai
Rishi Kapoor
Daulat dekar insaan khareede jaate hai, imaan khareede jaate hai ... magar kisi ke mann mandir mein base hue bhagwan nahi khareede jaa sakte
Asha Parekh
Teen cheezon ki wajah se rishtey bante bighadte hai ... aapke dil mein kya hai, aapki kismat mein kya hai aur aapki jeb mein kya hai
Akshay Kumar
Aaj kal ke Hindustani Coke peete hai, Pepsi peete hai, bhool gaye nimbu pani ... phir bhi dil hai Hindustani ... FTV, MTV, Channel V, bhool gaye Akashvani ... phir bhi dil hai Hindustani ... Reserve Bank khali, Swiss Bank mein saara maal pani ... phir bhi dil hai Hindustani?
Ajay Devgan
Paisa imaandari ke saath bhi kamaya ja sakta hai ... magar sirf itna ... agar pet bhar gaya toh badan kapdon se khali rahega ... aur agar kapdon se badan ko dhank liya toh bhook se pet khali
Paresh Rawal
Aaj shyam ka suraj doobne se pehle agar mujhe paise nahi mile ... toh duniya ki bheed mein kal tum bhi kisi ko nahi miloge
Duniya mein abhi tak kisi government ne aaise note nahi banaye ... joh ek baap se uske bete ko khareed le
Koi bhi hunar, koi bhi kala, koi bhi sammaan joh paise mein tabdeel na ho na ... uske peeche zindagi zayaa karna bilkul bekaar hai
Rajeev Verma
Insaan ki zindagi ka sirf ek hi maqsad reh gaya hai ... daulat, daulat aur daulat
Prem Chopra
Aadmi truck bharke rupaya kama le ... lekin izzat kamana aasaan nahi hai
Aaj ke samaaj mein imaandar hokar koi bhi crorepati nahi ho sakta
Simi Garewal
Tumhe insaanon se nahin ... paison se pyar hai
Govinda
Boss maal pakda gaya
Kafan mein jeb nahi hoti, kabar mein safe nahi hoti aur maut ke farishtey rishwat nahi lete
Nana Patekar
Tum jaise logon ne is desh ki sampatti ka sarvanash kiya hai ... is desh ki khushali ko barbaad kiya hai ... tum is desh ke gaddar ho
Shaadi ke baad aadmi aadmi nahi rehta hai ... ATM machine ban jaata hai ... farmaish dalo paisa nikalo
Jahan satya hai wahan dharm hai ... aur jahan dharm hai wahan dhan hai
Mithun Chakraborty
Sach aur sachai mein farak hota hai ... aur sach yeh hai ki har police waale ka dharam hai ki woh niswarth bhav se desh ki seva kare ... lekin sachai yeh hai ki 8,500 ki is tankha mein desh sambhalo, ghar sambhalo, imaan sambhalo
Pavan Malhotra
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory