Duniya mein tu aayi hai ashk peene ke liye ... muskurana hi padega tujhe jeene ke liye
Pyar mein mohabbat mein dil joh toot jaate hain ... log aisi halat mein tere paas aate hain
Ulfat ke raaste mein na deewar koi aaye ... jaise mile hai hum, khuda sabko yunhi milaye
Jurm ki duniya ke chote bhai ... hum kanoon ki duniya ke bade bhai hain
(Kaun ho tum?) ... Zulm ke andhere mein kanoon ki roshni ko jalakar ... masoomon ko zindagi dekar ... zaalimon ko maut ki neend sulaane waala ... inspector Ranjit Kumar
Aadmi halaat aur kamzoriyon ki mitti se bana hua woh khilona hai ... jisse galatiyan hoti rehti hai
Tum jaisi patni pakar apni taqdeer ki aarti utaarne ko dil chahta hai
Gunahghar us waqt tak mashoor rehta hai jab tak police dheel deti hai ... lekin jab police kanoon ki rassi kheenchti hai toh bade bade mujrimon ke gale mein phasi ka phanda hota hai
Is zameen se kabhi nafrat mat karna ... kyun ki aadmi jab oonchai se ludakta hai ... toh usse neeche is hi zameen par aana padta hai
Yeh rishtey toh pehda hone se pehle hi uparwaala muqadar ki kitaab mein likh deta hai ... us likhai ko badalna hamare bas ki baat nahi hai
Dukh aur sukh ki tarah galatiyan bhi aadmi ke muqadar mein likhi hoti hai ... galatiyan karke joh pachtata hai wohi insaan kehlata hai
Badi tedhi hai yeh duniya ... yahan haqdaar ko bhi apna haq bheek ki tarah maangna padta hai ... anpad naukri maangne jaye toh usse degree lane ke liye kehte hai ... degree lekar jaye toh waseela lane ke liye kehte hai ... aur waseelay ke liye kisi ke paas jaye toh rishvat maangte hai
Beizzati ki chhat ke neeche jeene se behtar hai ... ke insaan bina chhat ke izzat se jiye
Ab yeh haath chori ke maal ka bhoj nahin ... balki hathkari ka bhoj uthayenge
Noton ki seedi par chadkar aakash ko choone ki koshish mat karna, warna gir jaoge ... itni chotein lagegi, ki agla janam lene ke baad bhi shareer zakhmi hoga
Kabhi kabhi toh lagta hai bhagwan bhi dhanwanon ki tarah gareebon ka saath nahi deta
Maine jitni bhi taleem haasil ki, jitni bhi kitabein padhi hai ... un kitabon ki likhayi meri maa ki mehnat ke pasine se likhi hui hai
Sher ke mooh ko jab insaan ka khoon lag jaata hai ... tab usse kisi aur janwar ke shikaar mein mazaa hi nahi aata hai ... issi tarah ek baar jurm ki kamai khoon mein utar jaaye ... toh halaal ki kamai khane mein mazaa hi nahi aata hai
Yeh zindagi thode aasoon aur thodi hassi se milkar bani hai ... aankh se tapke hue har aasoon mein aane waali khushi ki kiran chupi hai ... jeevan ka sangeet chupa hai
Jeevan ek sapna hai, duniya ek maya hai ... yeh main nahi kehta hoon, yeh vedon ne bataya hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory