Naag hoon main naag ... kaala naag
Satta milne par pyare se pyara insaan bhi apne rang badal leta hai
Mere aadmi daulat khaate hai, daulat peete hai, daulat jeete hai, daulat soote hai
Imaandari kitni bhi bewakoof ho ... aakhir ek din uski tarakki zaroor hoti hai ... aur baimaani kitni bhi chalaak ho ... ek din usse jail mein zaroor jana padta hai
(Woh qurbani dega kaun?) - Dega kaun, dega kaun, dega kaun kya ... kamine tu dega qurbani!
Pedh chahe babool ka ho ya chandan ka ... kulhadi sabko kaatti hai
Tumne samundar ko lalkaara hai ... ab aaisa toofan aayega, aaisa sailaab uthega ... ki tumhara ishq, jispar tumhe bahut naaz hai ... tinke ki tarah beh jayega, tabah ho jayega, fanaa ho jayega
Bakra khud kasai ke ghar ke samne jaakar kathak karne laga ... toh use kaun bacha sakta hai?
Jab baazi dukki aur tikki se jeeti ja sakti hai ... toh uske liye ekka nikalne ki kya zaroorat hai
Mera baap ne mera naam Gulanand aaisi hi nahi rakha ... joh log mere saath anand se pesh aate hai ... unhe main gulab ki khushboo deta hoon ... aur joh log mere saath khroad se pesh aate hai ... unhe main gulab ke kaanton ki tarah chubne par majboor ho jaata hoon
Taaliyan bajane se kaam nahi hoga ... kaam karne se kaam hoga
Tum kya samajhti ho Krishna bhagwan tumhe bachane aayenge ... woh Mahabharat mein aaye the ... is Bharat mein nahi aayenge
Aaisi maut maaro inko ... ki ishq karne waalo ki rooh tak kaanp jaaye
Mera beta sharafat ki missile hai missile
Aadmi janam se juari hota hai ... taqdeer ki baat hai ki kuch log jua mein sab kuch haar jaate hai aur kuch log crorepati ban jaate hai
Ab hum uske saath khelenge ... haivaniyat ka khel khelenge
Gadhe ki peeth par vakalat ki kitaab rakhne se ... gadha vakil nahi banta
Main ek baar kehta hoon ... sau baar samajh lena
Mera naam hai Ghorpade ... aur mere samne achche achche ghidpade
Tumhari gardan ke naap ka phanda tayyar kar liya hai maine
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory