Zindagi ki raftar jitni tezz hai ... traffic utni hi rukavatein daal deta hai ... kai baar raaste badalne padte hai ghar pahunchne ke liye
Saif Ali Khan
Ek chatt ke neeche rehne waale zaroori nahi ... kamre mein bhi saath mein rahe
Dino Morea
Tum mujhe apne ghar se nikaal sakte ho, apne dil se nikaal sakte ho ... lekin apne zameer se tum yeh baat kaise nikaaloge ... ki tum dono mere gunehgaar ho
Amrita Singh
Ghar ka doodh chahe jitna shudh ho ... baazar ki chai peene ka kuch mazaa hi aur hota hai
Raza Murad
Badhe sheharon mein logon ke ghar hi nahi ... dil bhi bahut chote hote hai
Shishir Sharma
Tu kya bolega deewane ... hamare ghar mein pehda ho gaya tu kaise, kya jaane
Sapru
Jaane kya badalon ke darmiyan saazish hui ... uska ghar mitti ka tha, uske hi ghar baarish hui
Sonu Walia
Yeh ghar mera hai ... is ghar mein bole hue mere har alfaaz kanoon ke barabar hai
Amitabh Bachchan
Jab ghar ki jawaan bahu bahar rang raliyan manati phire ... toh budhe sasur ko neend kaise aa sakti hai
Nazir Hussain
Tere ghar mein mere bachche khelenge ... lekin tujhe daddy kehkar pukarenge
Pramod Moutho
Meri jaidaat se main tumhe bedakhal karta hoon
Unknown
Ghar aaye mehmaan ko salute dekar uski izzat karna hamare desh ki parampara hai ... aur dushman ke ghar mein ghuskar usse phoond dena hamari army ki shaan hai
Mithun Chakraborty
Kya house hai, kya blouse hai, kya aapka koi spouse hai?
Tum ladkiyon ka yeh bada problem hai ... ghar, career, pati, bachche, kitchen sab kuch sambhal sakti ho ... bas heartbreak ko manage nahi kar pati
Akshaye Khanna
Is ghar mein us waqt tak koi khushi nahi ho sakti ... jab tak hum dushman ke ghar mein khushiyon ke chiragon ko gham ke andheron mein na badal de
Shatrughan Sinha
Jis din ek mazdoor kaam pe nahi jaata ... uske ghar par chula nahi balki uska pet jalta hai
Rajesh Khanna
Beizzati ki chhat ke neeche jeene se behtar hai ... ke insaan bina chhat ke izzat se jiye
Jeetendra
Daulat aapke is ghar ke nizaam ko zaroor badal sakti hai ... lekin vidhi ke vidhan ko nahi badal sakti
Is ghar ke darwaaze tumhare liye hamesha ke liye band hein
Ek ladki ka maika hota hai, sasural hota hai ... par ghar kahan hota hai?
Aditi Rao Hydari
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory