Ghar ek qila ki tarah hota hai ... aur us mein basne waale log maa, baap, bhai, behen, bachche uski deewar ... kisi bhi deewar mein zara si bhi daraar padh jaye ... toh deewar hi nahi gir jaati balki ghar hi toot girta hai
Dev Anand
Jaag Bharatiya naari jaag ... buri bahu bankar ghar mein laga de aag
Salman Khan
Pati ke ghar ka dukh bhi maikay ke sukh se meetha hota hai
Rajesh Khanna
Ghar se niklo toh jeb mein pata rakhke niklo ... haath se chehre ki pehchaan mitta dete hai
Kiran Kumar
Kai baar logon ke liye yeh faisla karna mushkil ho jaata hai ... ki hamara dil bada hai yah hamara bungla
Fardeen Khan
Pati ka ghar stri ka sansar hota hai
Unknown
Chalo ro lo ... kyun ki aaj ke baad is ghar mein koi royega nahi
Nana Patekar
Sone chandi ke bartano mein khana khane waala amir nahi hota hai ... aircondition caron mein ghoomne waala amir nahi hota hai ... aaise sangemarmar ke bunglay mein rehne waala amir nahi hota hai ... besaharon ko sahara dena waala amir hota hai ... rote hue ko hasane waala amir hota hai ... marne waala nahin, bachane waala amir hota hai
Govinda
Jin toofano mein tum jaiso ke jhopde udh jaaya karte hai ... hum unhi toofano mein apne kapde sukaya karte hai
Himesh Reshammiya
Eent, cement se makaan banta hai ... ghar banta hai us mein rehne wale logon se
Yeh toh bungla nahi Bangal hai ... mere son-in-law ke paas itna sara maal hai
Paresh Rawal
Apni chaukhat ka chirag jale na jale ... yaaron ka aashiyan roshan rahe
Jimmy Shergill
Ghar ke bahar ke darinde toh sabko nazar aate hai ... lekin andar ke vaishi angrez kisi ko nazar nahi aate
Shahid Kapoor
Sarkari sadak hai yeh tera ghar toh nahi hai ... hum kyun na kare ishq, tera darr toh nahi hai
Dharmendra
Roti, kapda aur makaan teeno cheezein imaandari ke saath ek saath ... nahi milti
Purani zameen, purana makaan aur purana dost ... jitna zyada purana ho jaye ... utna hi zyada yaad aata hai
Paise se Mercedes khareedi ja sakti hai, makaan khareeda ja sakta hai, nursing home khareeda ja sakta hai ... zindagi ka har ek aaram khareeda ja sakta hai ... lekin dil nahi khareeda ja sakta hai
Amitabh Bachchan
Apni property pe kisi aur ke naam ka board laga dekh ... bahut takleef hoti hai
Sushmita Sen
Madh island ka beach ... beach par bungla ... aur bunglay mein Vimla aur Mangla
Aftab Shivdasani
Hamare ghar ki bahu betiyan jab kabhi beizzati ke daldal mein kadam rakhti hai ... toh hum unhe haveli ki char deewari mein zinda chunwa dete hai
Amrish Puri
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory