Apne aangan ki bedh doosre ke ghar mein phale phoole toh ... ghar ke armaan maati mein mil jaate hai
Daya Shankar Pandey
Insaan ki izzat jab jaati hai jab woh sachai aur imaan ka daaman chhod deta hai ... insaan ki izzat jab jaati hai jab woh apne zameer ko bech deta hai, insaaniyat ko bech deta hai, sharafat ko bech deta hai ... eent aur patthar ke bane huye makaano ke bikne se insaan ki izzat nahi jaati
Rajendra Kumar
Baat jab sadak tak pahunch jaati hai ... toh ghar ke andhar jhankne ki zaroorat nahi padti
Roopesh Kumar
Ghar saaf sutra ho, toh mann bhi khush rehta hai
Celina Jaitly
Chor ke ghar mein chori karne ko paap nahi kehte
Sushmita Sen
Agar hum pyase bhi marte ho ... toh bhi tumhare ghar se do boond pani peena hum mein manzoor nahi hai
Dalip Tahil
Jo sheeshe ke gharon mein rehne hein woh doosron pe patthar nahin phenkte
Unknown
Tera mera sheeshay ka ghar ... phir kyun dono ke haath mein patthar ... main bhi soochon, tu bhi sooch ... kya tujhe maloom na tha leheren aati hai, jaati hai ... phir bhi kyun likha naam ret par ... tu bhi sooch, main bhi soochon ... kyun teri behen beti ghar mein aur kisi ki bazaar mein ... tu bhi sooch, main bhi soochon
Neha Dhupia
Jab bete ki ghar mein shikayatein aane lage aur gaon mein charcha hone lage ... toh samjho beta jawan ho gaya
Ishrat Ali
Main seedhe sadhe dhang se kehta hoon apni baat ... ek ghar basana chahta hoon main tumhare saath ... kya dogi mere haathon mein bolo tum apna haath
Abhay Deol
Ghar ka doodh chahe jitna shudh ho ... baazar ki chai peene ka kuch mazaa hi aur hota hai
Raza Murad
Badhe sheharon mein logon ke ghar hi nahi ... dil bhi bahut chote hote hai
Shishir Sharma
Na tumko fikar, na bhai ko gham gharane ka ... khayal aaya kabhi mera ghar basaane ka ... diya kahin mera pehghaam, tumne cheddi baat ... zara bhi ki kabhi koshish, sajje meri baraat
Pran
Ghar se door raho toh ehsaas hota hai ... maa kya hoti hai, ghar waale kya hote hai
Fardeen Khan
Shaheedon ke mazaaron par diye zaroor jalte hai ... lekin unke gharon mein choolay tak nahi jalte
Chunky Pandey
Jaag Bharatiya naari jaag ... buri bahu bankar ghar mein laga de aag
Salman Khan
Zindagi ki raftar jitni tezz hai ... traffic utni hi rukavatein daal deta hai ... kai baar raaste badalne padte hai ghar pahunchne ke liye
Saif Ali Khan
Ghar se niklo toh jeb mein pata rakhke niklo ... haath se chehre ki pehchaan mitta dete hai
Kiran Kumar
Tu kya bolega deewane ... hamare ghar mein pehda ho gaya tu kaise, kya jaane
Sapru
Ghar science se nahi ... home science se chalta hai
Sharat Saxena
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory