Everything that's in the house is on the house
Deepika Padukone
Biwi paas chahiye toh ghar mein sandas chahiye
Akshay Kumar
Ladkiyon ka asli ghar unka mayka nahi ... unka sasural hota hai
Kader Khan
Aaisa diya aashirwad, ki teri chokri ka ghar ho gaya aabaad ... aur tera sadaa ke liye barbaad
Vinod Khanna
Footpath har sadak hi hai aashiyan hamara ... rehne ko ghar nahi hai, sara jahan hamara
Raza Murad
Bazaaru cheezon se ghar sajaaye jaate hai ... basaaye nahi
Saeed Jaffrey
Is desh ki mitti ke ghar kahi baar toote hain ... magar is desh ki mitti ka mard kabhi nahin toota hai
Govinda
Yeh bangla, yeh jaidaat sab kuch cheena ja sakta hai ... paas rehta hai toh sirf apna wajood
Madhuri Dixit
Jis baap ki char jawan betiyan bin biyahi ghar mein baithi rahe ... us baap ki misaal us laash ki tarah hoti hai ... jisko na jalaya ja sakta hai, na dafnaya ja sakta hai
Yeh eent patthar se makaan, chhat, deewarein toh ban sakti hai ... lekin ghar nahi
Shahrukh Khan
Yeh Mumbai hai ... yahan bhagwan mil jaata hai lekin ghar nahi
Unknown
Har ladki apne maikke ki chaya chhodkar sasural mein aati hai ... agar maa baap ki jagah saas sasur lele ... toh sasural mein maikke ki kami nahi hoti
Asha Parekh
Is ghar ke insaanon ko har saans ke baad doosre saans ke liye bhi ... aapse izaazat leni padti hai
Raaj Kumar
Do Hindustani picturon ki poster deewar pe tangane se koi Hindustani nahi banta ... Hindustani woh hota hai joh apna ghar jalakar doosro ko dabishta hai
Salman Khan
Yeh raajneeti ke chakkar toh bas do kisam ke logon ko raas aate hai ... ek toh woh jinke ghar khane peene ki fikar na ho ... aur doosre woh jinke ghar khane peene ko kuch na ho
A. K. Hangal
Dushman ke ghar mein daakhil hone ke liye ... tameez ki nahi taqat ki zaroorat hoti hai
Milind Gunaji
Ek chatt ke neeche rehne waale zaroori nahi ... kamre mein bhi saath mein rahe
Dino Morea
Tum mujhe apne ghar se nikaal sakte ho, apne dil se nikaal sakte ho ... lekin apne zameer se tum yeh baat kaise nikaaloge ... ki tum dono mere gunehgaar ho
Amrita Singh
Ek pati jab apni patni se nazaren churane lagta hai ... toh aurat samajh jaati hai ki uski grahasti ki buniyaad ko deemak lag chuka hai
Amiron ke gharon ki deewaron mein roshni aane ke liye bahut si khidkiyan hoti hai ... magar gareeb ke ghar mein toh roshni tabhi aati hai ... jab us bechare ke ghar ki deewar girti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory