Apan jab se pehda hua hai ... tab se yeh sadak hi apna ghar hai aur yeh footpath hi apna bistar
Deepak Tijori
Meri pehchaan tum dono ki zindagi mein ek zakhm hai
Pooja Bhatt
Arre agar koi ghar chala sakta hai toh ... gadi mein bhi reh sakta hai
Unknown
Dil koi kiraye ka ghar nahi hota ... ki ek jaye, doosra aaye
Soha Ali Khan
Koi bole Ram-Ram, koi khudaye, koi sevegosaiya, koi alaye ... rab ko manne ke tarike aur jagah alag alag ho sakte hai ... par rab ka ghar ek hi hota hai
Akshay Kumar
Maika ladki ke liye ek sarai jaisa hota hai ... jahan aadmi raat bhar aaram toh kar sakta hai ... lekin zindagi bhar ka thikana nahi kar sakta
Sanjay Khan
Wahi taj hai, wahi takht hai, wahi zehar hai, wahi jaam hai ... yeh wahi khuda ki zameen hai, yeh wahi bhuton ka nizam hai ... bade shauk se mera ghar jalaa, koi aanch tujhpar na aayegi ... yeh zabaan kisi ne khareed li, yeh kalam kisi ka ghulam hai
Vijay Raaz
Manzil toh mil hi jayegi, bhatakkar hi sahi ... gumrah toh woh hai joh ghar se nikle hi nahi
Ashish Vidyarthi
Is duniya mein chahe woh insaan ho yah makaan ho ... ek din mitt hi jaata hai ... nahi mitta hai toh woh hai pyar
Waheeda Rehman
Joh ladki raat ke andhere mein ghar se bhaag jaati hai ... usse din ke ujale mein log taane maar maarkar marne par majboor kar dete hai
Rakhee Gulzar
Apun ka khopi ka jhopdi satka na ... toh tera hasti ka basti mitt jayega
Kabhi socha hai ki Mumbai ko sapno ka shehar kyun kaha jaata hai ... kyun ki yahan pe sapne sirf bungalow aur imaraton mein nahi ... galiyon ki gandi naaliyon mein bhi palte hai
Abhishek Bachchan
Joh ghar se kafan baandkar nikalte hai ... woh apna nahi dushman ka naam yaad rakhte hai
Ajay Devgan
Tere paas bungla hai, gaadi hai, bank balance hai, sab kuch hai ... lekin mere paas maal hai
Gulshan Devaiah
Ghar waala ghar nahi ... hum mein kisi ka darr nahi
Mukesh Tiwari
Jinke ghar sheeshe ke hote hain ... woh batti bujhakar kapde badalte hain
Prem Chopra
Yeh kahan le aaye kaptan ... nazar aata nahi koi makan ... sirf kabristan kabristan
Deven Verma
Bhagyawan wohi hoti hai joh do kandhon pe savaar apne babul ke ghar se jaati hai ... aur char kandhon pe savaar apne dulha ke ghar se nikalti hai
Kutta chahe bunglay mein rahe yah gali mein, doodh piye ya naale ka pani ... uski dum seedhi nahi hoti ... kyun ki basically woh kutta hai
Dalip Tahil
Ladki ko bhagake laane mein ek bahut bada faida hai ... ladki baar baar maa baap ke paas jaane ki dhamki toh nahi degi
Tinnu Anand
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory