Daud zindagi ka ho yah motor car ka ... maine kabhi haarna nahi seekha
Ab har cheez meri hai ... aur har cheez ka maalik main hoon
Lehron ke saath toh koi bhi tair leta hai ... par asli insaan woh hai joh lehron ko cheerkar aage badta hai
Hamari duniya daulat aur maut ka woh chakravyuh hai ... jis mein ek baar dakhil ho jao, toh koi vapsi nahi
Har insaan ke jeevan mein do din important hote hai ... ek jab woh pehda hota hai ... aur doosra jab usse pata chalta hai ki woh kis liye pehda hua tha
Duniya se joh loge uske liye nahi ... duniya ko joh doge ussi ke liye yaad kiye jaaoge
Aasoon peeke bhi joh muskuraye ... wohi toh zamane ko jeet paye
Yeh aasoon joh hai na, beh jaye toh pani hai ... andhar reh jaye toh zehar hai
Kutta chahe bunglay mein rahe yah gali mein, doodh piye ya naale ka pani ... uski dum seedhi nahi hoti ... kyun ki basically woh kutta hai
Mann ke haare haar hai ... aur mann ke jeete jeet
Main zindagi mein bahut kam faisle karta hoon ... lekin ek baar faisla kar loon toh woh pahaad se bhi zyada atal hota hai
Zindagi mein agar jeena zaroori hai ... toh peena bahut zaroori hai
Kam kapde pehenna tujhe pasand hai ... aur teri is ada pe marna hum mein pasand hai
Happiness is good health and a bad memory
Shaadi ke baad ek gulab se biwi nahi maanti ... pyar, ishq aur mohabbat ka poora guldasta dena padta hai
Yeh dono mulk Hindustan aur Pakistan ek hi maa ke bete hai ... bas karvat badal ke lete hai
Agar hum pyase bhi marte ho ... toh bhi tumhare ghar se do boond pani peena hum mein manzoor nahi hai
Jis tarah chalaang lagane ke liye khiladi ko peeche aana padta hai ... ussi tarah dushman ko jadh se ukhaadne ke liye kabhi jhukna bhi padta hai
Form is temporary, but class is permanent
Jab dimaag mein gussa ho aur aankhon mein nafrat ... toh nishana theek nahi lagta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory