Prem naam hai mera ... Prem Chopra
Main woh bala hoon joh sheeshe se patthar ko todhta hoon
Sharafat aur imaandari ka certificate yeh duniya sirf unhe deti hai ... jinke paas daulat hoti hai
Noton ka malik wahi hota hai ... joh unhe apni jeb mein rakhta hai
Rajneeti ki bhains ke liye daulat ki lathi ki zaroorat hoti hai
Jinke ghar sheeshe ke hote hain ... woh batti bujhakar kapde badalte hain
Badshahon ka andaza bahut kam galat hota hai ... aur jab galat hota hai toh woh badshah nahi rehte
Pyar apni jagah hai, daulat apni jagah hai ... zindagi ke liye dono zaroori hai
Kar bhala toh ho bhala
Main joh aag lagata hoon ... usse bhujana bhi jaanta hoon
Dil todke bhikra diye jaate hai ... joh toot nahi sakte woh thukra diye jaate hai ... jadh kitni bhi gehri ho mushkil hai khade rehna ... joh pedh nahi hai phalte woh katva diye jaate hai
Sagai ke din ladka na aaye toh ek baap ke dil par kya guzarti hai ... yeh sirf ek ladki ka baap hi janta hai
Kailash khud nahi sochta ... doosro ko majboor karta hai sochne ke liye
Log toh aasteen mein saanp paalte hai ... lekin tum toh aasteen ke bichhoo nikle
Insaan ki zindagi ka sirf ek hi maqsad reh gaya hai ... daulat, daulat aur daulat
Upar waale sachche badshah di courier service lagi hai ... jab jisko kuch chahiye hota hai na ... bhej deta hai
Jab baat apni maut ki aati hai na ... toh aadmi ke dimaag ki sari khidkiyan khul jaati hai
Yeh toh sirf hamare yaar hai ... aur hum janam jaat se hi gaddar hai
Kabhi kisi se aaisa mazaak mat karna ... jisse uski duniya ujhad jaye ya uski jaan chali jaye
Arz-e-niyaz-e-ishq ke kaabil nahi raha ... jis dil pe naaz tha mujhe, woh dil dil nahi raha
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory