Phere hone ke baad beti baap ke ghar nahi ... pati ke ghar jati hai
Kareena Kapoor
Kutta chahe bunglay mein rahe yah gali mein, doodh piye ya naale ka pani ... uski dum seedhi nahi hoti ... kyun ki basically woh kutta hai
Dalip Tahil
Kabhi socha hai ki Mumbai ko sapno ka shehar kyun kaha jaata hai ... kyun ki yahan pe sapne sirf bungalow aur imaraton mein nahi ... galiyon ki gandi naaliyon mein bhi palte hai
Abhishek Bachchan
Agar ghar ka mard bighad jaye toh sirf ek nasal barbaad hoti hai ... lekin agar ek aurat bighad jaye toh us ghar ki saat nasalen tabah ho jaati hai
Mukesh Khanna
Bahut hi jald is sadak par joh sabse bada bangla hoga woh Raj Malhotra ka hoga ... jis building mein tumhara office hai, uske top floor ke upar joh sabsa bada office hoga woh Raj Malhotra ka hoga ... aur joh signal par sabse badi gaadi rukegi woh Raj Malhotra ki hogi ... aur tum toh achchi tarah se jaante ho ki Raj Malhotra main hoon
Govinda
Jis jhoot se ghar basta hai ... woh ghar, ghar nahi hota
Akshay Kumar
Tere paas bungla hai, gaadi hai, bank balance hai, sab kuch hai ... lekin mere paas maal hai
Gulshan Devaiah
Dahej dimak hoti hai ... ghar mein basne se pehle hi ghar ko khokla kar deti hai
Amitabh Bachchan
Ek toh yeh shehar naya, upar se yeh naukri nayi ... aur koi jana pehchana nahi, kisi ke ghar ghusne ka bahana nahi ... ek ajnabi pe bharosa kare, aaisa toh koi zamana nahi ... in short rehne ka thikana nahi
Ranbir Kapoor
Jin gharon par Allah meherbaan hota hai ... wahan betiyan paida hoti hai
Jaya Bhaduri Bachchan
Makaan ooncha banane se ... insaan ooncha thodi ho jaata hai
Zindagi bas ek safar hai ... sacha ghar toh sabka ek hi hai ... upar waale ka
Aapke ek shaunk ki keemat ... hamari kahi chhaton ki keemat hai
Sunil Shetty
Jeena haraam kar diya hai hamara ... sabun, towel, bedroom, bathroom ... poore ghar pe kabza kar chuka hai
Ajay Devgan
Betiyan gharon mein khushiyan laati hai, pyar laati hai ... lekin apne hisse ki khushi dhoondne ke liye unhe kisi aur ke ghar jaana padta hai
Parikshat Sahni
Yeh tere ghar damaad nahi ... bahu layegi ... bahu
Unknown
Is desh ke shehar shehar, gaon gaon mein, yahan tak ki ghar ghar ke andar nashe ko pohchane ki lagan honi chahiye hum mein
Naseeruddin Shah
Tumhe pata hai parindo aur insaano mein kya farak hota hai ... parindo ko sone ke liye jitni jagah chahiye hoti hai ... utna hi bada ghosla banate hai ... aur insaan apne aashiyane se kabhi khush nahi hota ... usse aur bada banana chahta hai
Karan Singh Grover
Insaan hi insaan ka sabse bada dushman hai ... insaan hi insaan pe zulm karta hai, usse lootta hai, uska ghar ujhaad deta hai
Sunny Deol
Sapno aur sachai mein bahut farak hota hai ... sapne toh ghar ke andar hote hai aur sachai toh darwaze pe dastak deti hai
Ameesha Patel
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory