Do niyam yaad rakhna is shehar ke baare mein ... property ki kimat per square foot duniya mein sabse zyada hai ... aur number of idiots per square foot woh bhi duniya mein sabse zyada hai
Adil Hussain
Duniya mein har aurat ek bikau maal hai ... woh chahe toh ghar mein bikke, chahe bazar mein ... kabhi woh paise ke liye bikti hai, kabhi ghar grahasti ke liye ... kahin woh khud bikti hai apni marzi se, kahin woh bech dali jaati hai
Poonam Dhillon
Ab tak na khabar thi mujhe ujhade hue ghar ki ... aap aaye toh ghar be-sar-o-saman nazar aaya
Meena Kumari
Dame ki bimari kuch aaisi hai jaise ghar aaya hua mehmaan ... aaj hai, kal nahi
Saif Ali Khan
Agar sharifon ki betiyon ke liye pati ka ghar puja ka mandir hai ... toh tawaifon ki betiyon ke liye toh pati ka ghar na jaane kitne mandiron ki pujaon ka phal hai
Sushma Seth
Ek ladka, ek ladki, chota sa ghar pyara pyara ... yahi sandesh de raha hai desh hamara
Anil Dhawan
Hamari asli jaidaat, hamari asli daulat toh hamare yeh rishtey hi hote hai ... joh hum mein virasat mein milte hai
Prem Chopra
Jisse dekho sharif aadmi dhoondta hai ... kyun ki ek sharif aadmi ki wajah se dus badmaashon ka ghar chalta hai
Harish Patel
Ghar ki shobha toh ghar mein rehne waalon se hoti hai
Lalita Pawar
Jaise hawa aur roshni ke aava gaman ke liye ghar mein khidki hoti hai ... ussi prakaar shareer mein hawa aur pani ke aava gaman ke liye dhoti hoti hai
Sushant Singh
Life mein biwi badal, ghar badal, gaadi badal ... lekin apna brand kabhi mat badalna
Ranvir Shorey
Insaan ki zaroorat kitni hai ... ghar ki, roti ki, kapde ki ... aur isse zyada jama karne ki koshish jurm hai, gunah hai sarasar
Farooq Shaikh
Naari nahi toh nar nahi ... aurat nahi toh ghar nahi
Unknown
Aashiyana badalne se pata toh badal jaata hai ... lekin taqdeer nahi badalti
Insaan duniya ki har cheez bhool sakta hai ... magar apni biwi ko nahi bhool sakta, apne ghar ko nahi bhool sakta ... un cheezon ko kabhi nahi bhool sakta jinpar uski zindagi ka daromadar hai
Joy Mukherjee
Apun ke ghar mein aake, apun ko gaali deke, apun ko dhamkakar, apun ko badmash bolkar agar tum zinda khada hai na ... toh isse badke aur koi sharafat nahi ho sakti
Sanjay Dutt
Maine is duniya mein bahut saare logon ko daulat aa jaane ke baad apna ghar badalte dekha hai, halaat badalte dekha hai, kapde badalte dekha hai ... maa baap badalte kisi ko nahi dekha hai
Kader Khan
Goonjte hai tere nagamon se ameeron ke mahal ... jhopdiyon mein bhi teri awaaz hai ... apne sangeet pe toh sabhi ko naaz hai
Aurat ke inhi hoton ne lakhon ghar barbaad kiye hai ... aabad kiye hai toh sirf veerane, maikhane, qaid khane aur pagal khane
Satish Shah
Ghar mein jis pati ki dhaak nahi chalti ... bahar uski aankh chalti hai ... samajh lijiye jab wife bhadki toh apne aap khul jaati hai nazar ki khidki
Salman Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory