CID waale shaq ke dhaagon se hi yakeen ka ghar banate hai ... joh baad mein mujrim ke liye qaid khana ban jaata hai
Mithun Chakraborty
Ghar mein ghusne ke liye ghar ke naukar ko pehle patana chahiye
Sujit Kumar
Joh baap apni beti ko apne faide ke liye istemaal karte hai ... usse kothi mein nahi, kothe pe rehna chahiye
Mandakini
Mere barbaad ghar mein tune kyun mashaal jalayi thi ... meri tareek raaton mein ujala banke aayi thi
Jeevan
Aadmi ke paon mein agar koi zanjeer na ho toh uske liye ghar aur bahar, done ek se hai
Om Prakash
Jis ghar mein tumhe aasra mila ... tumne uski buniyaadein hilake rakh di ... jis dil ne tumhe pyar diya ... tumne us dil ko thukra diya ... jis aadmi ne tum par vishwas kiya ...tumne us hi ke saath vishwasghaat kiya
Unknown
Yeh is ghar ki new member ... harami bahu ... hamari bahu
Ghar khareedne se pehle na do baar dekh lena chahiye ... ek baar din mein, ek baar raat mein ... din mein joh hai na woh ghar samajh aata hai ... aur raat mein mohalla samajh aata hai
Gharon ki khidki ho, parde ho ya gate ho ... ya phir shaadi ki date ho ... maare se pooche sivay fix nahi hoti hai
Govinda
Yeh desh ek ghar aur tamaam sube uski mili-jhuli deewarein ... agar yeh deewarein alag alag ho jaye ... toh chhat, chhat nahi rahegi ... dar, dar nahi rahega ... ghar, ghar nahi rahega
Shubha Khote
Yeh ghar hai ya veerana ... na aadmi, na uski jaat ka thikana
Sanjay Dutt
Main ek kamre ke ghar mein rehta tha ... aaj mujhe pata nahi mere ghar mein kitne kamre hai
Sachin Khedekar
Kahin bhi apna thikana nahi is zamane mein ... na aashiyane ke bahar, na aashiyane mein
Ashok Kumar
Idhar ameeron ke liye na ... ladki ek cheez hai aur gareeb ek joke ... gareebon ko saala rehne ke liye kholi nahi milti ... udhar ameeron ke teen teen duplex flats khali pade rehte hai ... kyun ki woh yede foreign mein jaake rehte hai
Apne ghar mein diya jalane ka matlab yeh nahi ke saare jag mein ujyala ho gaya
Rishi Kapoor
Jin gharon ki dehleez pe bahut shor hota hai ... unka charcha har ore hota hai
Chand tasveer-e-butaan, chand haseeno ke khutoot ... baad marne ke mere ghar se yeh samaan nikla
Sunil Dutt
Jab tu bahar se kisi daulat waale ka bangla dekhega na ... toh tujhe lagega ki bhagwan ne isse bahut kuch diya hai ... par jab andar jaake dekhega ... toh tujhe lagega bhagwan ne isse bahut kuch cheen bhi liya hai
Om Shivpuri
Jis din kisi ghar ki deewaron ke kaan nikal aate hai ... us din us ghar ki buniyaad mein dimak lag jaati hai
Pran
Haara hua pyar ghar-baar nahi bassa sakta ... aur bassa bhi le toh chala nahi pata
Sharmila Tagore
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory