Meri Sikhi sirf mere kesuyon mein nahi hai
Vir Das
Mere liye Lakshmi Devi, Saraswati Devi, Durga Devi, Kali Devi, duniya ki har devi joh hai ... woh hai insaaf ki devi
Kader Khan
Is sansar mein koi manav poorna buddhiman nahi hota ... Brahma srishti rachate hai, Vishnu uski raksha karte hai aur Shiv usko nasht karte hai
Dilip Kumar
Jab tab Bhavani Maa ka saaya mere saath hai ... dushman toh kya janam dene waala bhi nahi maar sakta
Amitabh Bachchan
Hum kisi sarhad ko nahi mante ... hum kisi mulk ko bhi nahi mante ... hum sirf yeh jante hai ki uparwaale ne sirf ek hi zameen banayi hai ... aur us pe sarhaden insaan ne banayi hai
Rahul Dev
Tu kanoon ko khareed sakta hai, adalaton ko khareed sakta hai ... lekin bhagwan ke us insaaf ko nahi khareed sakta
Anil Dhawan
Is duniya mein sabse bada aadmi wahi hai jisna naam hai grahak ... aur us grahak ka na koi naam poochta hai, na imaan ... woh grahak na Hindu hai, na Musalman ... woh hai sirf har dhande ka Allah aur bhagwan
Unknown
Jhulelal joh kamaal ... hot and sexy baby doll
Javed Jaffrey
Ab inhe dawa nahin duah ki zaroorat hain
Ab sab upar waale key haath mein hai
Shiksha bhagwan se hamari takkar hai ... kyun ki woh chahta tha ki hum usse takkar dein ... usne koi manual dekar humein dharti par nahi bheja tha ... humne karke seekha hai ... seb ko girta hua dekh kar gravity seekhi hai ... aur pani mein doobte huye jahaz ke tairne ka vigyan khoja hai
Abhishek Bachchan
Yeh upar waala hai na hamesha chuhe billi ka khel khelta hai ... kabhi itna sukh deta hai ki sambhala nahi jaata ... kabhi itna dukh de deta hai ki dil se nikala nahi jaata
Mukesh Khanna
Kya haath paya hai, saare ke saare devi devtaon ka saath hai ... rahu ketu ka ghulam hai, wahan shani ka kya kaam hai
Tiku Talsania
Pati woh hota hai jise patni parmeshwar samajhkar poojti hai ... ek kamzor aur besahara aurat par zulm karne waala pati nahi ... rakshas kehlata hai
Sunil Shetty
Bhagwan se toh kayi baar aapko maang liya hai ... bas ab aapse aapko maangna baaki hai
Aamir Khan
Zindagi deta hai parmeshwar ... magar taqdeer likhta hai Rajeshwar
Gulshan Grover
Shaastra sirf padhne aur sunane ke liye reh gaye hai ... amal ke liye jis dharam aur karam ki zaroorat hai ... usse insaan khud apne haathon se banata hai
Pran
Jab jab dharti par paap badha ... tab tab uska vinaash karne ke liye swayam Krishna ne janam liya
A. K. Hangal
Sardarni ladki ko joh teen quality chahiye na ... woh teeno mujhe mein hai ... jatt, jameen te jeepsy
Yeh zindagi kya hai, yeh duniya kya hai ... ek bahut bada WhatsApp group hai aur jiska admin kaun hai ... uparwala ... toh khushiyon ko forward karte rahiye ... zindagi ka data unlimited rahega
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory