Shaadi byah woh rishta hota hai jisse uparwaala aasman mein tay karta hai ... aur duniya waale sirf rasme poori karte hai
Govinda
Pyar bhagwan hai ... lekin saath yeh bhi kahoongi, ki pyar mein joh shaadi na kare ... woh shaitan hai
Zeenat Aman
Jise log kehte hai, Hindustan hai ... yahi apne khwabon ka pyara jahan hai ... kahi mazhabon ka yahan ek nishaan hai ... yeh Hindustan hai, yeh Hindustan hai, yeh Hindustan hai
Unknown
Auratein apne pati ko apna bhagwan maanti hai ... aur main woh khushnaseeb hoon joh apne bhagwan ko apna pati banane ja rahi hoon
Bipasha Basu
Insaan ka karm hi uska dharam hai
Pachtave ke ek aasoon se ... saare gunaah bhagwan bhi maaf kar deta hai
Shabana Azmi
Parbat bola main bada main bada main bada ... sar ooncha kiye sarhad par khada ... bakht bola tu kaise bada ... tere shikhar par toh bhagwan Shankar khada
Rang aur roop toh bhagwan deta hai ... lekin uski hifazat karna apne haat mein hai
Amitabh Bachchan
Upar waale sachche badshah di courier service lagi hai ... jab jisko kuch chahiye hota hai na ... bhej deta hai
Prem Chopra
Kabhi kabhi toh lagta hai bhagwan bhi dhanwanon ki tarah gareebon ka saath nahi deta
Jeetendra
Jis bhagwan ko tu maanta hai ... uske saamne aaj aakhri baar apne haath uthakar dua maangle ... kyun ki aaj ke baad tere haath kabhi nahin uthenge
Feroz Khan
Ek ne kahi duje ne maani ... Nanak kahe dono gyani
Sonu Sood
If you want to make God love then tell him your plans
Urvashi Rautela
Insaan jab ek darwaza band kar deta hai ... tab uparwala sattar darwaze khol deta hai
Arbaaz Khan
Khuda toh sabko bacha sakta hai ... lekin jiska khuda na ho, usse koi nahi bacha sakta
Shammi Kapoor
Meri teen baatein yaad rakhna bete ... sachai se kabhi mooh modna nahi, zulm ke aage kabhi jhukna nahi, dil ki pehli awaaz sunna ... kyun ki pehli awaaz parmatma ki hoti hai ... bad mein shaitan bolta hai
Mukesh Khanna
Tum kya samajhti ho Krishna bhagwan tumhe bachane aayenge ... woh Mahabharat mein aaye the ... is Bharat mein nahi aayenge
Sadashiv Amrapurkar
Kya mukhda hai, kya aankhen hai, kya hooth hai ... aaisa lagta hai ki upar waale ne sare staff ko chutti dekar ... apne haathon se usse banaya hai
Ajay Devgan
Jis din gareeb baghavat par utarta hai ... toh dhanwan toh kya usse bhagwan bhi nahi rok sakta
Bhagwan ki kaisi anokhi leela hai ... kabhi sab kuch cheen leta hai ... kabhi bahut kuch de deta hai
Sulochana Latkar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory