Taqdeerein badal jaati hai, zamana badal jaata hai, mulkon ki tarikh badal jaati hai, Shahenshah badal jaate hai ... magar is badalti hui duniya mein mohabbat jis insaan ka daaman thaam leti hai ... woh insaan nahi badalta
Mohabbat joh darti ho woh mohabbat nahin ... ayyashi hai, gunaah hai
Mohabbat humne maana zindagi barbad kar deti hai ... yeh kya kam hai ki marr jaane pe duniya yaad karti hai
Duniya mein dilwale ka saath dena ... daulat waale ka nahi
Main tumhari aankhon mein apni mohabbat ka ikraar dekhna chahta hoon
Mera dil bhi apka koi Hindustan nahi ... jispar aap hukumat kare
Jis dhan ke liye aap duniya se dokha kar rahe hai, apne azeezon se, apne doston se dokha kar rahe hai, apne saathiyon se dokha kar rahe hai ... ussi dhan ke haathon aap khud bhi dokha khayenge
Kaun kambakht hai joh bardaasht karne ke liye peeta hai ... main toh peeta hoon ki bas saans le sakun
Mohabbat karne waalo ka bas itna hi hai afsana ... tadapna chupke chupke, aah bharna, ghutke marr jana
Haq hamesha sar jhukake nahi ... sar uthake maanga jaata hai
Bada aadmi agar banna ho ... toh choti harkatein mat karna
Jab pet ki roti aur jeb ka paisa chin jaata hai na ... toh koi samajh wamajh nahi reh jaati hai aadmi ke paas
Kulhadi mein lakdi ka dasta na hota ... toh lakdi ke katne ka rasta na hota
Duniya mein asli shanti kisi ke sache pyar mein hi mil sakti hai ... uske bagair duniya jise shanti kehti hai, woh shanti ek thakan hai ... shakast ya maut ka doosra naam hai
Tumhari zindagi mere haath mein hai ... aur tumhari maut bhi
Mulk ka har sipahi jaanta hai ki, uske jism par woh khaki vardi ... joh uska maan hai ... woh vardi uska kafan bhi ban sakti hai
Jab jab is desh mein tum jaisa rakshas aayega ... mitaake rakh dega usse is desh ka yeh tiranga
Jiske dil mein daga aa jaati hai na ... uski aankhon mein daya kabhi nahi aati
Main marke bhi maroonga nahi ... tumhare andar zinda rahoonga
Kagazaat par dastakhat main hamesha apne kalam se karta hoon
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory