Mere marne ke baad mera dil nikaal lena ... hai kisi aur ki amanat ... kahin saath jal na jaye
Yeh kaisi khwahish, yeh kaisa ehsaas hai ... joh waakif na tha kal tak woh har lamha ab mere pass hai ... yeh kaunsa rang hai, yeh kiska sang hai, yeh kaisa saaz hai, yeh kiski awaaz hai ... kyun neend ab pareshan si aati hai ... kyun har saans mein uski khushboo utar jaati hai ... tahruff toh abhi nahi hai usse phir har waqt kyun woh aas pass hai ... yeh kaisi khwahish, yeh kaisa ehsaas hai
Farishtey hi honge jinka hua ishq muqammal ... insaano ko toh humne sirf barbaad hote dekha hai
Khwaab dil dekhta hai ... pura dimaag karta hai
Meri dastaan-e-hasrat woh suna sunake roye ... mujhe aazmane wale mujhe aazmake roye ... main bewatan musafir, mera naam bebasi hai ... mera kaun is jahaan mein joh gale lagakar roye
Aapki aankhon mein sapne hai aur meri sapno pe aankhen
Khud ki beauty se anjaan beauty ... sabse khoobsurat hoti hai
Sambhal jane se zyada haseen ladkhadana hota hai ... basharte koi sambhalne wala ho
Jahan chai, wahan rai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory