Main samajhti thi ki shaadi do insaano mein hoti hai ... lekin tumhare pitaji se pata chala ki shaadi ek insaan ki doosre insaan ke saath nahi ... ek bank balance ki doosre bank balance ke saath, ek haisiyat ki doosre haisiyat ke saath, ek rutbe ki doosre rutbe ke saath hoti hai
Madhuri Dixit
Joh bhabhiyon se kare pyar ... woh shaadi se kare hamesha inkaar
Unknown
Sagai ke din ladka na aaye toh ek baap ke dil par kya guzarti hai ... yeh sirf ek ladki ka baap hi janta hai
Prem Chopra
Shaadi nahi hui toh kya hua, suhagraat toh roz manati hoon ... pati nahi mila toh kya hua, crorepati toh roz milte hai
Veena Malik
Wedding you two ... planning us two
Ranveer Singh
Tu toh bewakoof haiga ... chutiya toh aadmi shaadi ke baad hi hove hai
Saif Ali Khan
Shaadi woh keemat hai joh ek aadmi sex ke liye chukata hai ... sex woh keemat hai joh ek aurat shaadi ke liye chukati hai
Amitabh Bachchan
Aap ek business machine se shaadi karne ja rahi hai
Cyrus Sahukar
Jab sahi ladki mil jaye na ... toh na pyar mein deri karni chahiye aur na shaadi mein
Bobby Deol
Bhagwan jin do aatmaon ko ek bandhan mein band dete hai ... wohi sansar mein janam lekar vivah bandhan mein bandte hai
Waheeda Rehman
Shaadi actually bilkul chicken masale ki tarah hai ... table pe sajane se pehle chak lo ... toh pata chal jaata hai ki chicken kitna naram hai aur kitna garam
Sophie Choudry
Baimaani hi tikau shaadi shuda jeevan ki chaabi hai
Dilip Joshi
Lagta hai meri destiny mein wedding ring nahi ... sirf suffering hai
Tusshar Kapoor
Yehi toh problem hai arranged marriage ki ... love marriage mein mehnat karni padti hai na ... arranged marriage mein pakki-pakai parosi huyi ladki samne mil jaati hai na
Taapsee Pannu
Na main hoon nikamma, na tu hai nikammi ... shaadi karke hum dono banenge daddy aur mummy
Johnny Lever
Mummy daddy meri shaadi karva rahe hai ... Sunday ko ladke waale ghar aa rahe hai ... meri baraat mein tum bhi aao ... koi pyara sa tofha lao ... jee na jalao
Kulbhushan Kharbanda
Na tumko fikar, na bhai ko gham gharane ka ... khayal aaya kabhi mera ghar basaane ka ... diya kahin mera pehghaam, tumne cheddi baat ... zara bhi ki kabhi koshish, sajje meri baraat
Pran
Shaadi ke saath na sirf engagement ring aur wedding ring aate hai ... balki ek aur ring bhi aata hai ... suffering
Vivek Oberoi
Bin byahi ladki ka dil toh hota hi hai aaine ki tarah hai ... joh bhi samne padh jaata hai, ussi ki parchai us mein dikhne lagti hai ... lekin shaadi ke baad woh parchai tasveer mein badal jaati hai ... pati ki tasveer
Anil Kapoor
Yeh maa baap bhi bade ajeeb log hote hai ... pehle pareshaan rehte hai ki bachcha padhega ki nahi ... phir pareshaan rehte hai ki usse job milegi ki nahi ... phir pareshaan rehte hai ki unki shaadi-waadi hogi ki nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory