Yeh joh vote hai na yeh kagaz ka tukda nahi hai ... ki dabbe mein daala aur chal diye ... yeh vote tumhare parivar, tumhare desh, uski unnati ki parchi hai ... yeh toh do dhaari talwar hai joh dono taraf se kaatti hai ... theek jagah pade toh desh khushal aur galat jagah pade toh desh ka satyanash
Rajesh Khanna
Mazhab insaanon ke liye banta hai ... mazhab ke liye insaan nahi bante
Om Puri
Chance kabhi bhi last nahi ... hamesha second last hota hai
Parineeti Chopra
Kal toh chala gaya, us pe koi control nahi ... aur aane waala kal toh tabhi sambhalega ... jab aaj kuch thik kar do
Ranbir Kapoor
Love is not heart of life ... it is only part of life
Jackie Shroff
Dosti na guitar ke strings ki tarah hoti hai ... ek baar tuning theek beth jaaye na ... har ek taar important hota hai
Unknown
Azaadi har insaan ka paidayashi haq hai
Rani Mukherjee
Insaan hona meri kamzori nahi meri taqat hai ... kyun ki mere paas hai har baap ka aashirwad aur har bache ka pyar
Hrithik Roshan
Pyar baantoge pyar milega ... nafrat baantoge nafrat milegi
Sunny Deol
Marna toh ek din hum sabko hi hai ... lekin maut aaisi ho jise sab yaad rakhe
Amrita Singh
Vaade aksar toot jaate hai ... koshishien kamyab ho jaati hai
Amitabh Bachchan
Jinke apne khud ke sapne nahi hote ... unki poori life auron ke sapne poore karne mein lag jaati hai ... issi liye life mein apna sapna khud chhuno ... aur usse khuli aankhon se dekho ... taaki jab woh sach ho toh sabse pehle woh tumhe dikhe
Tiger Shroff
Wajah milta nahi hai, dhoondna padta hai ... aur dimaag se nahi, dil se poochiye ... aur jab dil wajah dhoond lega toh saara duniya aapko aapke lakshya tak pahuchane mein jutt jayega
Seema Biswas
Army mein rehkar ya politician bankar hi desh ki seva ki jaye ... yeh zaroori nahi hai
Tabu
Mujhe yakeen hai ki sirf shehar chote hote hai, wahan ke log aur unke khwaab nahi ... mujhe yakeen hai aadmi ka kadh uske iraadon se naapa jaata hai ... mujhe yakeen hai naseeb ki baat sirf woh karte hai joh kabhi bhi maidaan mein utre hi nahi ... mujhe yakeen hai ki thakaan aur pressure sirf ek bhram hai ... mujhe yakeen hai haar aur jeet ke beech ka faasla bada hai, par namumkin nahi ... karo yakeen toh duniya tumhari
Sab apni soochte hai, sabko dhyan hai apna ... yahi hai rang toh poora na hoga ek sapna
Pran
Himmat ko aage badhne ke liye pairo ki zaroorat nahi hoti
Imran Khan
Agar you playing, may be you losing ... magar agar you running away, toh you pakka losing
Arjun Kapoor
Kabhi kabhi ek chota sa kadam zindagi bhar ki ek raah ban jaata hai
Amrita Arora
Kuch banne ke liye sapne dekhna zaroori hota hai
Emraan Hashmi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory