Itna mat sooch ... sooch gehri ho jaaye ... toh faisle kamzor ho jaate hai
Amitabh Bachchan
Faanoos banke jiski hifaazat hawa kare ... woh shama kya bhuje jise roshan khuda kare
Danny Denzongpa
Jahil ki baaton ka jawaab ... khamoshi hota hai
Chaudwee ka chaand ho ya aaftab ho ... joh bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho
Nagarjuna Akkineni
Chuha sher ka mooch ke baal se khelne ka himmat tabhi karta hai ... jab sher lohe ka zanjeer mein jakda hua ho
Waqt aur kismat badalne mein derr nahi lagti
Kiran Kumar
Mere haath lohe ki zanjeer se nahi ... dosti ke dhaage se banda hai
Cheel ki chaunch mein angoor, khuda ki kudrat ... pehlu-e-hoor mein langoor, khuda ki kudrat
Sridevi
Pyar ka teer waqt ka mohtaj nahi hota
Shilpa Shirodkar
Jin musafiron ki manzilein alag alag ho jaye ... woh saath saath nahi chala karte
Sar zameen-e-Hindustan, as-salaam alaykum ... mera naam Badshah Khan hai ... ishq mera mazhab, mohabbat mera imaan ... mohabbat, jiske liye Farhad ne pahadon ka seena cheer kar dhood ka dariya baha diya ... mohabbat, jiske liye Majnu ne seharaon ki khaakh chaani ... ussi mohabbat ke liye Kabul ka yeh pathan sar zameen-e-Hindustan se mohabbat ka khair maangne aaya hai ... aazmayish kadi hai, imtihan mushkil, lekin hausla buland ... jeet hamesha mohabbat ka hua hai ... sadiyon se yehi hota aaya hai, yehi hoga ... khuda gawah hai!
Taqdeerein badalne ke liye ... ek lamha bhi kaafi hota hai
Vikram Gokhale
Dil ke zakhm, dawao se nahi bharte
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory