Maanta hoon ki zindagi ki taqat maut se zyada bhadi hai ... lekin yeh zindagi kya maut se bhattar nahi
Amitabh Bachchan
Aadmi us din nahi marta jab uski saansein dum todh de ... aadmi us din marta hai jis din usse uski izzat cheen li jaati hai
Unknown
Mohabbat karne waalo ka bas itna hi hai afsana ... tadapna chupke chupke, aah bharna, ghutke marr jana
Dilip Kumar
Border pe marne se zyada bada nasha koi nahin hai
Kay Kay Menon
Marr ke aayenge ... lekin haar ke nahi aayenge
Shilpa Shukla
Sache police ki ya toh maut hoti hai ... ya toh suspend kiya jaata hai
Nana Patekar
Insaan mar jaate hai ... magar awaazein kabhi nahin marti
Bobby Deol
Jis din haar jaoonga ... duniya chhod doonga
Akshay Kumar
Anand mara nahi, Anand marte nahi
Jab hum kisi zinda aadmi ke bare mein janane ki koshish karte hai toh uske janam se shuru karte hai ... aur jab kisi rooh ki bare mein janane ki koshish karte hai toh uske shareer ki mrityu se shuru karte hai
Rahul Dev
Main maaronga ... toh mar jayega
Vivek Oberoi
Pyar mein jab tak maut se na khelo ... milne waali zindagi ka mazaa nahi aata
Shahrukh Khan
Yeh apun ka style hai kya ... jiyo toh seena taan ke jiyo ... maro toh seena taan ke maro
Apna ussool kehta hai ... har galati ki saza maut hai ... sirf maut!
Danny Denzongpa
Jiski mrityu ka samay nahi aata ... usse koi nahi maar sakta
Shatrughan Sinha
Maut toh muft mein badnaam hai ... jaan toh zindagi leti hai
Ajay Devgan
Main wapas zaroor aaonga ... aur uss din aakhri baar teri photo chapegi ... zinda nahi murda
Sanjay Dutt
Maut jab sar pe hoti hai ... zindagi ki keemat tab samajh mein aati hai
Is duniya mein do logon ki koi kadar hi nahi ... ek joh haan bole, bhale hi woh maut ke liye haan bole ... doosra joh de, bhale hi woh apni jaan de
Salman Khan
Marke hi pata chalta hai ki zinda rahe toh jeeye nahi ... aur marke bhi bache nahi
Shahid Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory