Zindagi mein joh hota hai woh socha nahi hota ... aur joh socha jata hai woh kabhi hota nahi ... aur joh kabhi nahi hota, woh kabhi kabhi ho jata hai
Kajol
Mere bete aayenge, mere Karan Arjun aayenge ... zameen ki chaati phad ke aayenge, aasman ka seena cheer ke aayenge
Rakhee Gulzar
Mere dushmano ko sar chupane ke liye jagah dene waalon ... main tumhari chittaon ko jalne ke liye jagah nahi doonga
Amrish Puri
Daulat se insaan keemti bistar khareed sakta hai, magar neend nahi khareed sakta ... daulat se insaan roti khareed sakta hai, magar bhook nahi ... daulat se insaan jism khareed sakta hai, magar sacha pyar nahi khareed sakta
Main toh samajhta tha ki duniya mein mujhse badkar kamina aur koi nahi hai ... lekin tumne end mauke par aaisa kaminapan dikhaya hai ... ki hum tumhare kaminepan ke ghulam ho gaye hai
Aaisi maut maroonga is kamine ko ... ki bhagwan yeh punar janam waala system hi khatam kar dega
Bhavnao ki chot jab dil par lagti hai ... toh nafrat ki jwala badakh uthti hai
Kiss gaalon pe nahi ... hoton pe kiya jata hai
Shahrukh Khan
Pyar mein jab tak maut se na khelo ... milne waali zindagi ka mazaa nahi aata
Daayan haath jeb mein rakh lo seth ... varna zindagi bhar aapko baayen haath se khana, khana padega
Salman Khan
Ghode par bahetkar jaan ki baazi lagane mein woh maaza nahi ... joh chahat ke maidan mein dil ki baazi laga dene mein hai
Khoon ki Holi khelne waale, aaj main dekhti hoon ... khoon kiska behta hai aur laashein kiski girti hai
Jab maa ka dil tadapta hai na ... toh aasman mein bhi daraarein padh jati hai
Main toh budhi ho gayi, meri aankhen kamzor ho gayi ... lekin mera vishvas kamzor nahi hua
Mere andhere jeevan mein ... subah phir se laut aayi hai
Paison ke mamle mein main pehdaishi kamina hoon ... dosti aur dushmani ka kya, apno ka khoon bhi pani ki tarah baha deta hoon
Main teri maut apni mutthi mein laya hoon
Unknown
Apne raaste se kaanto ko hata dena aur dushmano ko mita dena ... hamare khandan ki parampara hai
Waqt ka marham ... zindagi ke har zakhm ko bhar deta hai
Tere saare khandaan ki maut ... mere haath ki lakeeron mein likhi hai
Bhudhape mein jism bekaar ho jaate hai ... lekin tune toh apni zindagi hi bekaar kar di
Marte insaan ki antim ichcha poori karna ... is sansar ka sabse bada punya hove hai
Ashok Saraf
Hamare ghar ki bahu betiyan jab kabhi beizzati ke daldal mein kadam rakhti hai ... toh hum unhe haveli ki char deewari mein zinda chunwa dete hai
Hum khandani Thakur hai ... hamari ragon mein khoon ke saath saath zid aur ahankaar bhi daudta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory