Duniya mein asli shanti kisi ke sache pyar mein hi mil sakti hai ... uske bagair duniya jise shanti kehti hai, woh shanti ek thakan hai ... shakast ya maut ka doosra naam hai
Dilip Kumar
Apun to khud saala maut hai ... is liye aaj talak zindagi ka himmat nahi pada ... ki apun ko nazdeek se aakar dekhe
Shahrukh Khan
Jiske passport par Shankar maut ka thappa laga deta hai ... usse sirf upar ka visa milta hai
Dharmendra
Jesus Christ ne hum sabko is dharti par apne koi kaam ke liye bheja hai ... jab tak woh kaam poora nahi hota, tab tak maut hamara kuch nahi bhigaad sakti ... aur ek baar woh kaam poora ho jaaye toh phir kitni bhi koshish kar lo, zindagi humein rok nahi sakti
Zarine Khan
Joh tha jalkar khaak ho gaya, ab sirf ek saaya hoon ... Mr. X naam hai mera, tumhari maut bankar aaya hoon
Emraan Hashmi
Ab tu marne se pehle hazaar baar marega
Prakash Raj
Tumhari zindagi mere haath mein hai ... aur tumhari maut bhi
Zyada badbad karke, apni zindagi mein maut ki gadbad mat kar
Mohan Joshi
Yeh khilona nahi ... maut ka pehghaam hai
Jackie Shroff
Marne ke baad joh aatmayein is duniya mein bhatak rahi hai ... sirf woh insaan ka roop le sakti hai
Shernaz Patel
Maut ek khayal hai jaise zindagi ek khayal hai
Dev Anand
Tumhare aur maut ke beech ... meri pistol se nikli sirf ek goli ka faasla reh gaya hai
Naseeruddin Shah
Sari zindagi guzaar di tune paisa jama karne mein ... magar tu yeh bhool gayi ki na kafan mein jeb hai aur na kabar mein almari ... aur kambakht maut ke farishtey rishvat bhi nahi lete
Himesh Reshammiya
Jism ki maut insaan ki maut nahi hoti
Shabana Azmi
Main marne se pehle marna nahin chahta
Rajesh Khanna
Aadmi ke seene mein khanjar bhokane se woh sirf ek baar marta hai ... lekin jab kisi ka dil tootta hai na toh usse bar-bar marna padta hai, har roz marna padta hai
Mumtaz
Jisse marne se darr na lagta ho ... woh is duniya ka sabse khatarnak insaan hota hai
Unknown
Meri shaadi ho chuki hai, magar maut se
Sunny Deol
Main un logo ki gundagiri ko maut ki woh vardi pehnaonga ... jise kafan kehte hai, kafan
Mithun Chakraborty
Main apna antim sanskar kar chuka hoon
Salman Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory