Filmy Quotes

Death
Death

(Page 5 of 26)
# 81

Jis din tu isse zindagi dega ... main isse maut doonga, maut, sirf maut!


The day you give him life ... I will give him death, death, only death!

# 82

Mujhe hamesha lagta tha ki duniya mein do tarah ke insaan hote hain ... ek joh chupchap maut ka daman thaam lete hain ... aur doosre joh rote chilaate maut ki taraf badhte hain ... aur phir main teesre kisam ke insaanon se mila


I always thought that in the world there are two kinds of people ... one who go silently to their death ... and second who go crying and screaming to their death ... and then I met the third kind

# 83

Izzat ki maut zillat ki zindagi se kahin achchi hai


Death with respect is much better than life with humiliation

# 84

Main ab tak jee raha tha apne bhai ke liye ... aur ab jee raha hoon uski maut ka badla lene ke liye


Until now I was living for my brother ... and now I'm living to take the revenge of his death

# 85

Iski maut soochni padegi!


I will have to plan his death!

# 86

Maut ke saath sirf zindagi khatam hoti hai ... mohabbat nahi


Only life ends with death ... not love

# 87

Marna toh ek din hum sabko hi hai ... lekin maut aaisi ho jise sab yaad rakhe


We all have to die one day ... but the death should be something that everyone remembers

# 88

Jatt maraa tab jaanio jab terahvi ho le


Consider a Punjabi dead only after the 13th day of his death

# 89

In aankhon mein gaur se dekh ... na toh in mein marne gham hai, na maut ka khauff ... sirf garv hai


Look properly in these eyes ... neither there is the sorrow of dying, nor there is the fear of death ... there is only pride in it

# 90

Hum woh pandit hain ... joh shaadi bhi karate hain, aur shraadh bhi


I am that pandit ... who conducts a marriage, and also death anniversary rituals

# 91

Jeete aur marte toh janwar bhi hai ... magar insaan woh jiski zindagi ka koi maqsad ho ... aur marna woh joh kisi ke kaam aaye


Even animals live and die ... but a human is someone whose life has a meaning ... and death should be something that can be of use to someone else

# 92

Maut aur waqt ka koi taal-mel nahi hota


Death and time do not have any coordination between them

# 93

Maut se zinda lautne ka alag hi maza hai


It feels great to return alive from the hands of death

# 94

Upar waale ne mujhe maut toh ek hi di ... par tumhare saath in kuch dino mein kai zindagiya jee li maine


God has given me only one death ... but I've lived many lives with you in these few days

# 95

Hume sirf ek take milta hai, sirf ek take ... aur agar uss ek take mein hamse koi galati ho jati hai ... toh maut ke samne zindagi ghutne take deti hai


We only get one take, just one take ... and if we do a mistake in that one take ... then life bends down on its knees in front of death

# 96

Teri maut hi mere zakhmon ka ilaaj hai


Your death is the remedy to my wounds

# 97

Main brake par paon nahi rakhta ... kyun ki mujhe maut se dar nahi lagta


I don't keep my foot on the brake ... because I don't fear death

# 98

Marte huye ko apne karam theek karne chahiye ... tabiyat nahi


A dying person should correct his bad deeds ... not his health

# 99

Hum aur zindagi umar bhar ek doosre se ladte rehte hai ... aur anth mein jeetti maut hai


We and life fight with each other for the entire lifespan ... and in the end death wins

# 100

Na maut aati hai, na tum aati ho ... par Zohra Bai tum bahut achcha gaati ho


Death doesn't come, neither do you ... but Ms. Zohra you sing very well

Recently Added

Box Office Winners


Movies Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ#

Stars Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ

Copyright © FilmyQuotes.com