Hamari duniya daulat aur maut ka woh chakravyuh hai ... jis mein ek baar dakhil ho jao, toh koi vapsi nahi
Dalip Tahil
Marke hi pata chalta hai ki zinda rahe toh jeeye nahi ... aur marke bhi bache nahi
Shahid Kapoor
Mere marne ke baad mera dil nikaal lena ... hai kisi aur ki amanat ... kahin saath jal na jaye
Adhyayan Suman
Maut aur badnaseebi do hi aisi cheezein hai ... joh bagair khabar kiye aate hai
Danny Denzongpa
Maa baap ka jaldi marna kabhi hadsa nahi lagta, kabhi maut nahi lagti ... sirf dokha lagta hai
Unknown
Bhudha samajhte hai na aap ... woh aadmi joh zindagi se bhi darta hai aur maut se bhi
Yeh zindagi ek jung ka maidan hai ... yahan sar uthakar jeene ke liye insaan ko har kadam par ladna padta hai ... kabhi waqt ke saath, kabhi halaat ke saath aur kabhi maut ke saath
Mithun Chakraborty
Aaj shaam che bajhe maut ke saath apna appointment hai
Amitabh Bachchan
Agar main marr gaya toh tu jee gaya ... agar main jee gaya toh tu marr gaya
Sanjay Dutt
Main toh sirf ek sipahi hoon jisne maut ko itne kareeb se dekha hai ki ... zindagi ke har pal ki keemat jaan gaya hoon
Ajay Devgan
Death aur shit ... yeh do cheezen kisi ko, kahin bhi, kabhi bhi aa sakti hai
Irrfan Khan
Ab tujhe aisi maut maroonga ... ki tu is janam mein jalega ... lekin dard agle janam tak chalega
John Abraham
Jesus Christ ne hum sabko is dharti par apne koi kaam ke liye bheja hai ... jab tak woh kaam poora nahi hota, tab tak maut hamara kuch nahi bhigaad sakti ... aur ek baar woh kaam poora ho jaaye toh phir kitni bhi koshish kar lo, zindagi humein rok nahi sakti
Zarine Khan
Main teri ek ek saans maut ke bazaar mein bechkar aaya hoon
Shahrukh Khan
Kya naza ki takleefon mein mazaa, jab maut na aaye jawani mein ... kya luft janaza uthne ka, har gaam pe jab maatam na hua
Zindagi mein insaan do hi baar gehri neend sota hai ... maut ki gaud mein yah maa ke aanchal mein
Farida Jalal
Duniya mein asli shanti kisi ke sache pyar mein hi mil sakti hai ... uske bagair duniya jise shanti kehti hai, woh shanti ek thakan hai ... shakast ya maut ka doosra naam hai
Dilip Kumar
Maut apna raasta nahi badalti ... joh bhi uske raaste mein aata hai, chala jaata hai
Apun to khud saala maut hai ... is liye aaj talak zindagi ka himmat nahi pada ... ki apun ko nazdeek se aakar dekhe
Jiske passport par Shankar maut ka thappa laga deta hai ... usse sirf upar ka visa milta hai
Dharmendra
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory