Insaan itna ghatiya janwar hai ... ki waqt padhne par khuda ki zaat se bhi inkaar karde
Sunil Shetty
Sher aatank machata hai aur zakhmi sher tabaahi
Ajay Devgan
Is duniya mein do tarah ka keeda hota hai ... ek woh joh kachre se uthta hai ... aur doosra woh joh paap ki gandhgi se uthta hai ... kachre waala keeda insaan ko beemar kar deta hai ... magar paap ki gandhgi ka keeda saare samaaj ko beemar kar deta hai
Amitabh Bachchan
Yeh roz subah jaldi uthte hai murge ki tarah ... phir aada adhoora khate hai kauve ki tarah ... phir breakfast karte hai bandar ki tarah ... phir office ko daudte hai ghode ki tarah ... phir kaam karte hai gadhe ki tarah ... phir ghar aakar daru peete hai machli ki tarah ... phir mujhpe bhaunkte hai kutte ki tarah ... phir khana khate hai magarmach ki tarah ... aur uske baad taange phaila ke soo jaate hai bhainso ki tarah ... dekho kaise ghoor rahe hai ulle ki tarah
Madhuri Dixit
Yeh toh sher ki guffa hai ... yahan agar tumne karvat bhi li toh samjho maut ko bulava diya
Raaj Kumar
Sher hoon main sher ... aur sher tab tak raja hota hai jab tak akela rehta hai
Saif Ali Khan
Yeh awaaz ek kutte ke mooh se bhi achchi lagegi
Humne saanp ko doodh pilaya ... par hum doodh pila sakte hai, toh uska sar bhi kuchal sakte hai
Shammi Kapoor
Jis tarah bewafaa mehmoob kabhi ek dil mein nahi reh sakte ... us hi tarah choohe kabhi ek bil mein nahi reh sakte
Shatrughan Sinha
Janwaron ko tehzeeb sikha di hum insaano ne ... ab insaano ko insaaniyat sikhane ke din aa gaye hai
Akshay Kumar
Ghode par bahetkar jaan ki baazi lagane mein woh maaza nahi ... joh chahat ke maidan mein dil ki baazi laga dene mein hai
Shahrukh Khan
Tujhe samjhana jaise haathi ko chaddi pehnana hai
Shahid Kapoor
Pehlu-e-hoor mein langoor, khuda ki kudrat ... kauve ki chaunch mein angoor, khuda ki kudrat ... gadhe ko de diye khane badam ... kaisi yeh jodi milayi mere Ram
Raj Kapoor
Pagal kutta aur awara haathi ... dono bandook ki goli ke liye hi banne hai
Unknown
Hindustan ki pavitra dharti par pehda hokar ... gadhe ki tarah mehnat karke, kutte ki tarah jeena chhodkar ... chori chakari kar raha hai?
Salman Khan
Rehna hai raho, jaana hai jao ... I don't give a crocodile's ass
Javed Jaffrey
Jis din main koi gori titli dekh leta hoon na ... mere khoon mein sehkado kaale kutte ek saath bhaukne lagte hai
Amrish Puri
Bina patte ke is shehar mein sirf keede makaude milte hain ... aadmi nahin
Ashish Vidyarthi
Brother-in-law will die Tommy's death
Jab aadmi ka waqt bura aata hai ... toh chahe woh unth pe hi kyun na behta ho ... phir bhi kutta usse kaat leta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory