Magarmach ke cheenkne se machchar marte hain ... mard nahin
Mohan Joshi
Jis tarah mazab-e-islam mein haraam hai suvar khana ... jis tarah hindu dharam mein paap hai gaye khana ... in sabse bada gunaah hai ... mard hokar kisi aurat ke jism ki kamai khana
Govinda
Jahan chanda hoga wahan chakori hogi ... jahan thali hogi wahan katori hogi ... aur jahan tu hoga wahan main hongi
Juhi Chawla
Pyar ki kahani ek aisa pinjra hai jis mein mann ka panchi pharphara toh sakta hai ... magar nikal nahi sakta
Manoj Kumar
Kutte ka naam Masakali rakh dene se ... woh kutta kabutar nahi ho jaata
Kunal Khemu
Kutte ki dumm aur mard ki akal ... kabhi seedhi nahi ho sakti
Neha Dhupia
Insaan chahe janwar se mard ban gaya ho ... lekin kuch aaise mard hai joh janwar se insaan kabhi nahi ban sakte
Sameera Reddy
Lambi race ke ghode ko goli nahin maarte ... gud aur chana khilate hain ... phir daav lagage paisa kamate hain
Anil Kapoor
Bandar ka gurda hamesha bandar ke andar hota hai
Rahul Dev
Sarat ghodon pe lagate hai ... kathor sheron pe nahi
Ajay Devgan
Insaan ko gaddar hona chahiye ... wafadar toh kutta bhi hota hai
Boman Irani
Aaj raajneeti woh vaishya hai jiski kamai bazar ke sab log khana chahte hai ... aur neta ki kursi kutton ke beech padi hui haddi ki tarah hai ... ab is desh ka vatavaran do hi sooraton mein badla ja sakta hai ... ya toh sare netaon ko bhrashtachar ki kanooni azaadi di jaye, ya kisi bhi bhrasht neta ko zinda na chhoda jaye
Kutte ki zaat pehchanni ho toh uske aage haddi daal do ... aur aadmi ko pechanna ho toh usse daulat aur taqat de do
Sanjay Khan
Maane ki kasai se dosti karne se murgi nahi bachti ... par kasai apna dost ho toh kam se kam pyar se murgi toh katti hai
Fardeen Khan
Apne badan pe chot lage toh saala janwar bhi rota hai ... insaan woh hai joh doosre ki chot ko mehsoos kar sake
Pankaj Kapur
Kehte hai jungle mein naya janwar aaye toh ... sabse pehle sher ko saalam karna padta hai
Aftab Shivdasani
Dahej dimak hoti hai ... ghar mein basne se pehle hi ghar ko khokla kar deti hai
Amitabh Bachchan
Chipkali ke bachche kabhi magarmach nahi ban sakte ... woh deewar par rhengte rhengte hi mar jaate hai
Raaj Kumar
Jungle mein jaanwar ka shikaar ho toh insaan ko pata bhi nahi chalta ... lekin insaan ka ho toh jaanwaro ko bhi khabar ho jaati hai
Kutta paalo, billi paalo, yahan tak ki saanp paalna ... par galatfahmi mat paalna
Satish Shah
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory