Kachhuae na kahaniyon mein jeette hai ... asli zindagi mein nahi
Emraan Hashmi
Kutta jab pagal ho jaata hai toh usse goli maar dete hai
Ajit Khan
Magarmach ke mooh se shayad gosh ka tukda nikalna aasaan hai ... lekin Baburao jisko apne daanton mein daboch le na ... usse na toh aaj tak koi chhuda paya hai aur na chhuda payega
Rahul Dev
Kutta jab gaadi ke peeche bhaagta hai toh ... usko gaadi khareedni hai yah chalani hoti hai?
Salman Khan
Prince charming milne se pehle ... bahut saare mendako ko kiss karna padta hai
Unknown
Billi ke nakhoon badh jaane se ... billi sher nahi ban jaati
Shatrughan Sinha
Haathi agar chinti ke upar pair rakh de toh chinti marta nahi ... usse masalna parta hai
Kuch saanp itne zehreelay hote hai ... ki agar woh kaat le toh palak jhapakte hi zindagi kat jaati hai ... woh karvat badalne ka mauka tak nahi dete
Arjun jab chidiye ki aankh ka nishana lagata hai ... toh usse chidiye ki aankh ke siva kuch dikhayi nahi deta
Sunny Deol
Sher ko jungle se pakad kar pinjare mein bandh kar diya hai ... magar sher toh pinjare mein bhi ghaas nahin khata
Danny Denzongpa
Taqat toh genda bhi lagata hai ... lekin sher lagata hai taqat aur technique, dono ... sher ban'na hai, genda nahi
Jis darakht ki jadh mein saanp ka bil ho ... parinde uski shaakon par ghosla nahi banate
Mohan Joshi
Awaaz toh teri ek din main neechi karoonga ... sher ki tarah garajne waala ... billi ki zabaan bolega
Pran
Chuha sher ka mooch ke baal se khelne ka himmat tabhi karta hai ... jab sher lohe ka zanjeer mein jakda hua ho
Amitabh Bachchan
Zindagi race ki tarah hai ... joh ghoda jeetta hai ussi ki izzat hoti hai
Jackie Shroff
Hamara desh ek sone ki chidiya hai, jise aap log bech-bechkar, bech-bechkar apne pet mein dharna chahte ho ... phat jayega pet, mooh mein nahi aayegi chidiya ... kyun ki ab woh chidiya baaz ban chuki hai ... joh aapko noch-nochke, noch-nochke kha jayegi
Cheel ki chaunch mein angoor, khuda ki kudrat ... pehlu-e-hoor mein langoor, khuda ki kudrat
Sridevi
Apun kutte ki woh dum hai joh barah baras nalli mein daalke rakho ... nalli tedhi ho jayegi ... apun seedha nahi hoga
Yeh roz subah jaldi uthte hai murge ki tarah ... phir aada adhoora khate hai kauve ki tarah ... phir breakfast karte hai bandar ki tarah ... phir office ko daudte hai ghode ki tarah ... phir kaam karte hai gadhe ki tarah ... phir ghar aakar daru peete hai machli ki tarah ... phir mujhpe bhaunkte hai kutte ki tarah ... phir khana khate hai magarmach ki tarah ... aur uske baad taange phaila ke soo jaate hai bhainso ki tarah ... dekho kaise ghoor rahe hai ulle ki tarah
Madhuri Dixit
Pehle daru peeta tha, maar peet karta tha ... toh Singham tha ... maine isse sab kuch chhudake chewing bana diya
Sonakshi Sinha
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory