Sher ki dumm bankar jeene se achcha hai ... kutte ka mooh bankar jeena
Unknown
Kutton ki yaadash badi tezz hoti hai
Akshay Kumar
Hum unlogo mein se nahin hai, joh saanp ka sar kuchalkar usse maar dalte hai ... hum unlogo mein se hai, joh saanp ka sar pakad lete hai aur uske baad uske zehrile daanton ko nikaalkar ... usse nachate hai aur paisa kamate hai
Amjad Khan
Kauva kitna bhi washing machine mein naha le ... bagula nahi banta
Paresh Rawal
Bandar ke haath mein yeh saaz dekhiye aur ulloo ke sar pe yeh taj dekhiye ... joh dekha kabhi na woh aaj dekhiye ... hasegi joh dekhegi duniya tamaam ... kaisi yeh jodi milayi mere Ram
Raj Kapoor
Kalyug mein zindagi badi kaiyan hai ... aur log maha kaminey
Shahid Kapoor
No but, no why ... free free bird and blue blue sky
Kartik Aaryan
Aadmi ke paida hote hi kaal apne bhaise pe baithke chal padta hai usse vapis lewane ... aadmi ki zindagi utni jitna samay us bhaise ko laga us tak pahunchne mein
Saif Ali Khan
Tumhe pata hai parindo aur insaano mein kya farak hota hai ... parindo ko sone ke liye jitni jagah chahiye hoti hai ... utna hi bada ghosla banate hai ... aur insaan apne aashiyane se kabhi khush nahi hota ... usse aur bada banana chahta hai
Karan Singh Grover
Nagin dushman ko maarne ke liye kabhi kabhi insaan ka roop dharan kar leti hai ... lekin tumhare jaisa insaan ki shakal mein naag aaj tak pehda nahi hua
Feroz Khan
Jab dus kamine marte hai toh ek kutta pehda hota hai ... jab sau kutte marte hai toh ek soovar pehda hota hai ... aur jab ek hazaar soovar marte hai toh ek bhadwa pehda hota hai ... aur jab ek lakh bhadwe marte hai tab tujh jaisa ek ganda neta pehda hota hai
Govinda
Mohabbat janwar ko bhi insaan bana deti hai ... lekin kuch insaan aaise hote hai jinhe mohabbat bhi insaan nahi bana sakti ... woh zindagi bhar janwar bankar reh jaate hai
Main tera woh bura haal karoonga ... joh dimak lakdi ka aur chipkali makdi ka karti hai
Mohan Joshi
Kholo kholo apni aankhen aur gaur se suno ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon ... ek boond suraj ki, ek qatra aasman ka, koyal ki aadhi kook aur kuch jagmagate sapne ... achcha lage toh aur maango ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon ... aasman sa aaina, ek dibbi titliyon ki, ek chamach nadi ki dhar aur ek mutthi zindagi ... achcha lage toh aur maango ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon
Udita Goswami
Hum tumhe aaisi maut denge ... ki log kutte ko bhulakar tumhari maut ki misaal diya karenge
Raj Babbar
Shabash mere cheeteh ... shabash!
Aamir Khan
Yeh koyle ki khaan ek ajgar hai ... joh roz anginat mazdooron ko nighalta hai aur unhe chabake, peeske, kuchalke ... unke jismon se zindagi ka ek ek katra chooskar ... ek laash ki soorat mein unhe vapas ughal deta hai
Amitabh Bachchan
Makkhiyon ki aadat hi aisi hoti hai ... jitni baar udao, phir aa jaati hai
Saira Banu
Duniya ka sabse khatarnak janwar insaan hi hota hai
Randeep Hooda
Tiger na billo se darta hai ... aur na billo ke pillo se
Aditya Pancholi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory