Zindagi mein teen cheez kabhi underestimate nahi karna ... I, Me and Myself!
Salman Khan
Boyfriend girlfriend se darta hai, girlfriend cockroach se darti hai, cockroach chuhe se darta hai, chuha billi se darta hai, billi kutte se darti hai, aur kutta aadmi se darta hai ... aur aadmi aurat se darta hai ... vaise hi jaise villain hero se darta hai
Main modern zamane ka kutta hoon ... wooow wooow wooow
Agar aap chuhe hai to ye billi hai ... agar aap billi hai to ye kutte hai ... agar aap kutte hai to ye tendua hai ... agar aap tendua hai to ye sher hai ... agar aap sher hai to ye haathi hai ... agar haathi hai to ye dinasaur hai dinasaur
Is honey ke liye toh main moon tak jaane ke liye tayyar hoon
Ek baar kaam karna shuru kardoon ... no income, no tax ... (kya) no income tax
Abhe main un mein se hoon ... joh machli ko doobo ke maar sakta hoon
Main jaanta hoon pyar andha hota hai ... lekin shaadi sabki aankhen khol deti hai
Sanjay Dutt
Jab tak love story mein baadhayein na ho ... woh love story, love story nahi
Mujhe toh nihayati khurrat plus kamini honhaar biwi chahiye
Main yahan rishtey jodne aaya hoon ... haddiyan todne nahi
Aap logon ko upar waale ne bheja toh bheja ... lekin bheje mein bheja hi nahi bheja
Paresh Rawal
Agar isko laga daala ... toh life jhingalala
Pehle samjhao baat ... nahi samajh mein aaya ... toh do kheench ke laat
Jiske paas family support hai ... usse koi deport nahi kar sakta
Aaisa gayab kar doonga ki Google.com bhi tumhe dhoond na payega
Abhe saale khud ka thopda dekha hai ... national TV pe dikha de ... toh poore desh ki nazar utar jaaye
Yeh toh mafia ke baap hai ... ek nevla toh doosra saanp hai ... agar dono mil jaaye toh killer shark hai ... lekin dono angootha chaap hai
Chaudry's plus Kapoor's equals to Chapoors
Manoj Pahwa
Apna hone se koi apna nahi hota ... apno ko apnaane se ... apna, apna hota hai
Sharat Saxena
Bina kuch kiye lene ke dene padh rahe hai ... agar kuch by chance kar liye toh lene aur dene dono padh jayenge
Ganda hai par dhanda hai ... aur gundo ko sabak sikhane yahi funda hai
Oh bewakoofo ki CEO
Upar waale ne isse dharti par bheja hi is liye hai ... taaki yeh dharti ka bhoj bada sake ... aur yeh maatha is liye diya hai ... taaki hamare maathe par yeh kalank laga sake
Manoj Joshi
Tu na apne chehre pe "Welcome" likhwa le ... darwaaze ka sada hua doormat lagega tu
Unknown
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory