Khoon jab bolta hai toh maut ka tandav hota hai
Mazhab insaanon ke liye banta hai ... mazhab ke liye insaan nahi bante
Mujhe koi nahi maar sakta ... na aage se, na peeche se, na daayen se, na baayen se ... na aadmi, na janwar, na astra, na shastra
Jis din police ki vardi ka saath pakda ... us din darr ka saath chod diya
Kanoon ka dost mera dost ... kanoon ka dushman mera dushman
Har insaan ko zindagi mein ek baar pyar zaroor karna chahiye ... pyar insaan ko bahut achcha bana deta hai
Agar insaan ke dil mein yakeen ho ... toh woh chataan bhi hila sakta hai
Ek katra jab zara sa ubharta hai, toh samundar ke lehje mein baat karta hai ... chhaton ke diye kab ke bhuj gaye hote, koi toh hai joh hawa ke par kattarta hai ... aur zameen ki koi vakalat nahi chalti, jab koi faisla aasman se utarta hai
Jung koi bhi ho, nateeja kuch bhi ho ... ek sipahi apna kuch na kuch kho hi deta hai
Hamare dhande mein aasunyon ke saath koi rishta nahin hota
Draupadi teri akele ki nahi hai ... hum sab shareholder hai
Kisi bhi insaan ke prati dushmani, khud ke prati dushmani hoti hai ... is liye dushman ko bhi apna dost maan lo
Janwar jab adamkhor ban jaye ... toh uski chamdi udherkar deewar par chipka di jaati hai
Mera farmaan aaj bhi iss shehar ka kanoon hai
Jab ek corrupt aadmi marti hai toh uski satta khatam hoti hai ... aur jab ek sacha aadmi marta hai toh uski satta shuru hoti hai
Ek waqt par main sirf ek hi kaam karta hoon ... jab peeta hoon toh khoob peeta hoon ... aur jab duty karta hoon toh sirf duty karta hoon
Main aise loktantra mein vishvas nahi karta ... joh gareebon ki izzat karna nahi jaanta
Paramparaon ki lakeerein jab dhundli padh jaati hai ... toh nayi lakeerein kheenchne se parhez nahi karna chahiye
Main jab bhi karta hoon, insaaf hi karta hoon
Vardi kisi neta ki topi nahi hai ... jise apne matlab ke liye jab chaha pehan liya aur jab chaha utaar diya
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory