Chhot khaya hua dost dushman se zyada khatarnak hota hai
Darya bhi main, darakht bhi main ... Jhelum bhi main, chinar bhi main ... dair bhi hoon, haram bhi hoon ... Shai bhi hoon, Sunni bhi hoon, main hoon pandit ... main tha, main hoon aur main hi rahoonga
Chaal hum chalenge ... sheh bhi hum denge ... aur maat bhi hum denge
Pistol ki thandi nali jab kanpatti pe lagti hai na ... tab zindagi aur maut ka fark samajh mein aata hai
Aaj kal shareef sirf woh hota hai jiske mobile mein password nahi hota hai
Husn apne aage peeche poori duniya ko nachata hai
Badhe sheharo ki hawa aur chote sheharo ka pani ... bada khatarnak hota hai
Shaitan ki sabsi badi chaal yeh hai ki woh saamne nahi aata
Ahankar ki aag tezaab se zyada khatarnak hoti hai ... ek baar jala de toh nishaan seedha aatma pe jake lagta hai
Ishq ka ek problem hai ... agar ek ki lagi toh doosre ki bhi lagni hai kabhi na kabhi
Aadmi ka sapna toot jaata hai na, toh aadmi khatam ho jaata hai
Bharat ko angrezon se azaadi lene mein 200 saal lage the ... tu 18 tak toh ruk hi sakti hai
Shauk do tarah ke hove hai ... ek toh woh joh samay ke saath khatam ho jave hai ... aur duja woh joh samay ke saath maqsad ban jave hai
Ik baar to yun hoga, thoda sa sukoon hoga ... na dil mein kasak hogi, na sar mein junoon hoga
Bachpan mein bacha hamari ungli pakad ke chale hai taake bheed mein kho na jave ... aur jis din woh hamari ungli chhod de ... toh aise laage jaise hum hi kho gaye ho ... par baat bhi hai bhaisaab ... jab talak balak aapki ungli chhodega nahi ... tab talak aake gale kaise lagavega
Death aur shit ... yeh do cheezen kisi ko, kahin bhi, kabhi bhi aa sakti hai
Tu toh sarkari naukri ki tarah ho gaya hai ... badi mushkil se milta hai ... woh bhi kismat waalon ko
Log har peshe mein khudko ghulam kehte hai ... hum ishq karne wale shayari ko kaam kehte hai
Pyar mein joh galat hai ... woh bhi sahi hai
Khoon ka rishtaa khoon bahake hi khatam kiya jaa sakta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory