Na aadi na anth hai uska ... woh sabka na inka unka ... wohi shunya hai, wohi ikai ... jiske bheetar basa Shivaay ... aankh moondkar dekh raha hai ... saath samay ke khel raha hai ... Mahadev maha ekaki ... jiske liye jagat hai jagi ... wohi shunya hai, wohi ikai ... jiske bheetar basa Shivaay ... Ram bhi uska, Ravan uska ... jeevan uska maran bhi uska ... tandav hai aur dhyan bhi woh hai ... agyani ka gyan bhi woh hai ... isko kaanta lage na kankar ... rann mein Rudra, gharon mein Shankar ... anth yahi sare vighno ka ... is bhole ka vaar bhayankar ... wohi shunya hai, wohi ikai ... jiske bheetar basa Shivaay