Aapne shayad nahi dekha par maine dekha ... ki aapke dekhne mein ek sapna tha ... joh aksar maine apne sapne mein dekha ... aur aaj us sapne ko dekha toh, dekhta hi reh gaya
Ajay Devgan
Khwab zindagi se kai zyada khoobsurat hote hai
Shashi Kapoor
Jis tarah khel mein ball ko pass kiya jaata hai ... kabhi kabhi zindagi mein apne sapno ko pass karna padta hai
Kunal Kapoor
Khud sapne nahi dekhta ... par auron ke sapne zaroor sakaar karta hoon
Unknown
Sapne sabhi log dekhte hai ... lekin sakaar unke hote hai joh jeena jaante hai ... main bheed mein se ek tha ... phir lakhon mein se ek ... aur aaj karodon mein se ek ... so go for your dreams
Sonu Sood
Jab do log ka life ek hota hai na ... toh unka sapna bhi ek hi mangta hai
Ritesh Deshmukh
Adhoore sapne chubte bahut hai ... bahut teekhi hoti hai unki chuban
Zeenat Aman
Chakravyuh mein ghusne se pehle kaun tha main aur kaisa tha, yeh mujhe yaad hi na rahega ... chakravyuh mein ghusne ke baad mere aur chakravyuh ke beech sirf jaanleva nikatta thi, iska mujhe pata hi na chalega ... chakravyuh se bahar nikalne par main mukt ho jaon bhale hi, phir bhi chakravyuh ki rachna mein fark hi na padega ... maron ya maaron, maara jaon ya jaan se maardon, iska faisla kabhi na ho payega ... soya hua aadmi jab neend mein se uthkar chalna shuru karta hai, tab sapnon ka sansar usse dobara dikh hi na payega ... us roshni mein joh nirnay ki roshni hai, sab kuch samaan hoga kya ... ek palhade mein napunsakta, doosre palhade mein parush aur theek tarazu ke kaante par ardh satya
Om Puri
Meri nigaah ne yeh kaisa khawab dekha hai ... zameen pe chalta hua mehtab dekha hai
Milind Soman
Jab khuli aankhon se aadmi sapne dekhne lage, aur neend mein bhi har pal uske saath guzaare ... ussi junoon ko pyar kehte hai
Dina Pathak
Maine hamesha socha tha ki mera sapna aapke pyar se poora hoga ... aapke reham aur aapki daya se nahi
Vidya Balan
Khwab aur hakikat mein jab bhi jung hoti hai ... khwab haar jaata hai
Aamir Khan
Jalte khwaabon ki lapton se ek diya jalana hai ... ek zakhm hi khakar mujhko ek zakhm bhulana hai ... saath nibhana pad jaye itna koi majboor nahi hai ... khol diya dil ka darwaza, jaao jisko jana hai
Khwaab dil dekhta hai ... pura dimaag karta hai
Adhyayan Suman
Sapno ki duniya mein safalta pana aasaan hai ... par asli zindagi mein mushkil
Yahan lakhon logon ke karodon sapne hai ... kuch sache, kuch jhoote ... kuch ban gaye, kuch toote
Jab sapne aur haqeeqat takrate hai ... toh sapne toot jaate hai
Urmila Matondkar
Aasman paane ka khwab dekho ... suraj toh mil hi jayega
Jackie Shroff
Joh beet gaya woh sapna hai ... joh aaj hai woh apna hai
Sapna tab khatam hota hai jab hum dekhna band kar dete hai
Vijay Raaz
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory