Ek gareeb ki sabse badi daulat uski izzat hai ... aur woh izzat dekar bhi apna pyar, apne sapne kabhi nahi khareed sakta
Juhi Chawla
Kuch log sapno ke peeche bhaagte hai kyun ki woh unhe sach karna chahte hai ... lekin kuch log sapno ki peeche is liye bhaagte hai kyun ki unhe apni sachai se bhaagna hota hai
Abhishek Bachchan
Sapno ko bikharte dekha hai yahan ... umeedo ko simatte dekha hai yahan ... suna hai yahan bighade huon ko sudharte hai ... magar sudhre hue ko bighadte dekha hai yahan
Unknown
Maine kya kya sapne dekhe the ... byah karke honeymoon karne Switzerland jaonga ... lekin ab toh zindagi mein na switzer hai, na land hai, na honey hai, na moon hai
Govinda
Darr asal mein is baat ka nahi hai ke hum bade sapne dekhte hai joh poore nahi hote ... asal mein darr toh is baat ka hai ke hum chote sapne dekhte hai joh poore ho jaate hai
Manav Kaul
Ab ke hum bichre toh shayad kabhi khwabon mein mile ... jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein mile
Karisma Kapoor
Mere sapne ka sambandh aankhon se nahi hai, dil se hai ... jise mehsoos kiya ja sakta hai, dekha nahi ja sakta
Rajesh Khanna
Sapna dekhna gunah nahi hai ... sapne mein gunah karna nisangik hai ... sapna na dekhna sangeen apradh hai ... sapne mein gunah karna zaroori hai
Naseeruddin Shah
Log toh soo ke sapne dekhte hai, par main toh jaag ke sapne dekhta hoon ... aur sapne toh wahi sach hote hai joh jaag ke dekhe jaate hai
Ritesh Deshmukh
Kuch sapne saanp se bhi zyada zahreelay hote hai ... zindagi ka rang uda dete hai
Mohan Gokhale
Har bada sapna dekhne waala aadmi kabhi na kabhi jail zaroor gaya hai
Ajay Devgan
Sharif ghar ki ladkiyan ... apne maa baap ki izaazat ke bagair khwab tak nahin dekhti
Om Shivpuri
Number one ke sapne paalna khatre se khali nahi hota
Parineeti Chopra
Shehar chote hote hai ... sapne nahi
Farhan Akhtar
Har mumkin pehle namumkin hi hota hai ... aur har haqeeqat pehle khwaab hi hoti hai
Anupam Kher
Kya bachon ki tarah cricket khel rahe ho? ... khelna hai toh mere kaale kaale lambe baalon se khel ... mere reshmi dupatte ke aanchal se khel ... mere khwabon mein aakar mere khayalon se khel
Jeevan ek sapna hai, duniya ek maya hai ... yeh main nahi kehta hoon, yeh vedon ne bataya hai
Jeetendra
Sabse gareeb toh woh hota hai jiski aankhon mein sapna na ho
Jacky Bhagnani
Jaagti hui aankhon ka khwab kabhi poora nahi hota
Paresh Rawal
Aapne shayad nahi dekha par maine dekha ... ki aapke dekhne mein ek sapna tha ... joh aksar maine apne sapne mein dekha ... aur aaj us sapne ko dekha toh, dekhta hi reh gaya
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory