Dil ko rokta hoon toh aankhen bhatak jaati hai ... aankhen band karta hoon toh khwab bhatak jaate hai ... khwabon ko todta hoon toh yeh haath bhatak jaate hai
Ajay Devgan
Joh sapne dikhata hai ... woh kabhi kabhi sapno ke saath neend bhi cheen leta hai
Aditya Narayan
Sapno se behtar toh samjhauta hai na ... kam se kam roz toh nahi tootte
Unknown
Yeh shehar sapno ko ghar deta hai ... iraado ko manzil deta hai ... armaano ko hasil karta hai ... deewano ko qabil karta hai
New York mein jabhi bhi koi sapna tootta hai na ... toh ek taxi driver paida hota hai
Javed Jaffrey
Har kamyabi ke peeche koi toota hua sapna hota hai shayad ... duniya kamyabi se toh judna chahti hai ... lekin us toote huye sapne se nahi
Sushmita Sen
Woh zindagi hi kya jis mein koi namumkin sapna na ho
Manisha Koirala
Sachche dil se aur khuli aankhon se dekhe sapne ... hamesha sach hote hai
Aruna Irani
Ab ke hum bichade toh shayad kabhi khwabon mein mile ... jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein mile
Raj Babbar
Aadmi ko khwab dekhne chahiye apni aukaad aur haisiyat ke hisaab se
Shammi Kapoor
Duniya mein aisa ek aadmi batao, jisne koi bada sapna poora karne ke liye ... kuch achcha, kuch bura aur kuch bahut bura na kiya ho
Raat mein soote hue joh sapne aate hai, woh sache nahi hote ... lekin din mein jaagte hue joh sapne dekhe jaate hai, woh hamesha sache hote hai ... kyun ki unka doosra naam hai irrada
Manoj Kumar
Koi bhi sapna impossible nahi hai ... agar hum milke yeh vishvas rakhe ki yeh sapna poora hoga
Akshay Kumar
I believe only three things can change our lives ... dreams, suffering and love ... pareshaniyon se main nikalke aaya hoon ... sapna main dekh raha hoon ... aur pyar mujhe aksar ho jaata hai
Jimmy Shergill
Daulat mein hi woh taqat hai joh har sapna, har umeed, har umang ko haqeeqat mein dhaal sake
Kiran Kumar
Har sapna toh sach nahi hota hai na ... kuch sapne aankh khulte hi hamesha ke liye toot jaate hai
Mahima Chaudhry
Mann ke jeete jeet hai, mann ke haare haar ... haar gaye joh bin lade, un par hai dhikaar ... un par hai dhikaar joh dekhe na sapna ... sapno ka adhikaar asal adhikaar hai apna ... apno ki khatir karna kuch aaj humein ... ajar, amar kar dena hai swaraj humein ... tu maati ka laal hai, koi kankad ya dhool nahi ... tu samma badal ke rakh dega, itihaas likhega bhool nahi ... tu bhor ka pehla taara hai ... partivartan ka ek naara hai ... yeh andhkaar kuch pal ka hai ... phir sab kuch tumhara hai
Vicky Kaushal
Joh khoya hai woh ek khwaab hai ... aur joh paaya hai woh lajawab hai
Desh keval zameen se aur border se nahi banta hai ... desh banta hai jab sab deshvasiyon ki aankhon mein ek hi sapna hota hai
Sapno ke saath do hi baatein hoti hai ... ya toh poore hote hai, ya toot jaate hai
Anil Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory