Humne gareebi mein sapne dekhe hai ... yeh sapno mein bhi gareebi nahi dekh sakegi
Unknown
Sapne poore karna chahte ho toh jaagna seekho
Asrani
Jab main aankhen bandh karti hoon aapki tasveer mere samne aati hai ... jab main saans leti hoon aapki khushboo aati hai ... jab main soo jaati hoon aap mere sapno mein aa jaate hai
Ramya Krishnan
Desires, dreams, khwaab, hasratein banayi hai bhagwan ne ... par duniya mein kaise jeena hai banaya hai samaaj ne, insaan ne
Sapna dekhne ka haq sabko hai ... lekin aaise sapne ki taraf mat bhaago joh tumhe khudkhushi ki taraf le jaye
Gulshan Grover
Sapne dekhna bhi zaroori hota hai ... insaan ne chaand par kadam bad mein rakha tha ... chaand par pahunchne ka sapna pehle dekha tha
Manju ... mere khawabon ki rani, mere pyar ki nishani, meri mohabbat ki biryani
Deepak Tijori
Yeh chandi ke sapne aur sone ki saansein lete the ... lekin inhe nahi malum tha ... ki chandi ke sapne pranon par zanjeer ban jaate hai ... aur sone ki saansein atma mein zehar gholne lagti hai
Anita Kanwar
Sapne unhi ke sach hote hai ... joh apni bhalai ke saath doosro ka bhi bhala chahein
Gareeb sapne zaroor sajja sakta hai ... magar usse poora nahi kar sakta
Shatrughan Sinha
Gareeb ko sirf roti ka sapna dekhna chahiye ... pyar ka nahi
Bharat Bhushan
Log Mumbai ko sapno ka shehar kehte hai ... yahan par har ek ke sapne poore hote hai
Kulbhushan Kharbanda
Kisi khwaab ki itni aukaat nahi hai ki Ravikumar usse dekhe aur woh poora na ho
Himesh Reshammiya
Zindagi mein na sapne upload karna bada easy hota hai ... aur download karne mein poori zindagi nikal jaati hai
Sonu Sood
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory