Kutta bhi jahan tukda khata hai wahan wafadari dikhata hai ... tujhe toh kutta kehna bhi kutte ki beizzati karna hai
Om Shivpuri
Main all in one hoon ... main driver ka motor hoon ... main coach van ka ghoda hoon ... mail maali ka bhageecha hoon ... main kitchen ka bawarchi hoon
Mehmood
Bulbul se, aashiyan se, na sayyaad se gila ... kismat mein qaid thi likhi fasl-e-bahar mein
Shatrughan Sinha
Khat kabutar kis tarah le jaye bam-e-yaar par ... par kattarne ke liye hai kaichiyan deewar par ... jawab hai ki khat kabutar is tarah le jaye bam-e-yaar par ... khat ka mazmoon ho paron par, par katte deewar par
Amitabh Bachchan
Hum sab panchi ek dhaal ke ... dhaage ek rumaal ke ... dimple ek gaal ke
Zayed Khan
Sher jab ghayal ho jaata hai ... toh shikari ke liye maut ban jaata hai
Akshay Kumar
Zyada chalaaki karne ki koshish ki na ... toh aaisa gayab kar doonga pahadon mein ki cheelon ko bhi khabar nahi hogi
Vinay Pathak
Tum itna ooncha kyun bolti ho ... kauve khaye the kya bachpan mein?
Unknown
Shikaar ke waqt sherni jis zameen par apne khunkhar panje rakhti hai ... us zameen ko bhi uske chalne ka ehsaas nahi hota ... ehsaas tab hota hai jab shikaar kiya hua khoon zameen par bikhar jaata hai
Rekha
Saanp ka kaata kam se kam mar toh jaata hai ... lekin aurat ka sataya na mar sakta hai, na jee sakta hai
Shreeram Lagoo
Janam se Haridwar ka panda aur mooh mein murgi ka anda
Nirupa Roy
Jurm karne waale saanp mujhe nevala kehte hai ... aur saanp ki khushboo mujhe bahut door se aa jaati hai
Gulshan Grover
Tu toh kanoon ka woh pilla hai joh botiyan dekh ke talve chatta hai
Sunil Shetty
Langoor ki dumm par angoor ki bail ... ab ho jayega dushmanon ka engine derail
Shakti Kapoor
Ghodi aur jawan ladki ki lagaam zara kaske rakhni chahiye
Ranjeet
Jee toh janwar bhi lete hai ... lekin insaan ussi ko kehte hai joh samajhdari se jee sake
Madan Puri
Pyar ek aisi cheez hai ... aadmi toh aadmi, janwar bhi dost ban jaata hai
Rishi Kapoor
Shera ki suvar ki khopdi mein lomdi ki tarah chalaak dimag hai ... pahad khodkar chuha nikaal leta hai ... kabar khodkar murda nikaal leta hai ... aur aatma ka gala dabakar parmatma ka pata nikaal leta hai
Danny Denzongpa
Saanp ko fann uthane se pehle kuchalna, main achchi tarah janta hoon
Prem Chopra
Insaani khaal mein khada yeh shaksh ... insaani ghost ko noch noch kar khane waala woh khatarnak cheetah hai ... jisne duniya har jurm chatkare le lekar kiya hai ... hatya, loot, balatkaar
Rajat Bedi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory