Punjab, Sind, Gujarat, Maharashtra ... Bangal ho ke Hyderabad ... Hindustan ke hum hai ... Hindustan hamara
Shammi Kapoor
Ladki khandan ki ek band mutthi hai ... jab tak yeh mutthi band hai sharafat, sharafat hai ... jis din yeh mutthi khul gayi ... ek shareef ladki aur ek bazaari aurat mein koi farak nahi
Sachai se kahin zyada kabhi kabhi masoom sa jhoot dil ko bada baahta hai
Zevar utaarkar phir se pehne ja sakte hai ... lekin ghar ki izzat woh zevar hai joh ek baar utar gayi toh phir nahi pehni ja sakti
Apne liye zinda rehna sirf zindagi hai ... aur doosron ke liye zinda rehna sirf zindagi hi nahi ... balki ibaadat hai, bhakti hai
Rehman
Yeh desh ek ghar aur tamaam sube uski mili-jhuli deewarein ... agar yeh deewarein alag alag ho jaye ... toh chhat, chhat nahi rahegi ... dar, dar nahi rahega ... ghar, ghar nahi rahega
Shubha Khote
Main all in one hoon ... main driver ka motor hoon ... main coach van ka ghoda hoon ... mail maali ka bhageecha hoon ... main kitchen ka bawarchi hoon
Mehmood
Agar ek biwi chali gayi toh doosri biwi mil sakti hai ... chattees saas sasure mil sakte hai ... magar ek sacha dost nahi mil sakta hai
Agar koi jawan potti jawan potte ko maarengi toh ... potta mar jayenga lekin potte ka dil joh hai fadhakta rahenga ... fatafat-fhat fatafat-fhat
Dawa khali shareer ke hadh tak asar karti hai ... magar dua dil ke gehraiyon se hoti hui bhagwan tak pahunch jaati hai
Unknown
Talwar ka zakhm bhar jaata hai ... lekin zubaan ka zakhm nahi bharta
Pran
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory