Zyada chalaaki karne ki koshish ki na ... toh aaisa gayab kar doonga pahadon mein ki cheelon ko bhi khabar nahi hogi
Vinay Pathak
Tum itna ooncha kyun bolti ho ... kauve khaye the kya bachpan mein?
Unknown
Shikaar ke waqt sherni jis zameen par apne khunkhar panje rakhti hai ... us zameen ko bhi uske chalne ka ehsaas nahi hota ... ehsaas tab hota hai jab shikaar kiya hua khoon zameen par bikhar jaata hai
Rekha
Saanp ka kaata kam se kam mar toh jaata hai ... lekin aurat ka sataya na mar sakta hai, na jee sakta hai
Shreeram Lagoo
Janam se Haridwar ka panda aur mooh mein murgi ka anda
Nirupa Roy
Ameeron ke joh kutte hote hai na, woh kabhi bhaukte nahi hai ... aur jab woh bhaukna shuru karde toh samjho ki unko time khatam ho gaya
Shakti Kapoor
Ghodi aur jawan ladki ki lagaam zara kaske rakhni chahiye
Ranjeet
Tu aaisa khatarnak keeda hai joh aurat ki kismat khata hai ... tumhe maarna toh gunah nahi sawab hoga
Jaya Bhaduri Bachchan
Jee toh janwar bhi lete hai ... lekin insaan ussi ko kehte hai joh samajhdari se jee sake
Madan Puri
Pyar ek aisi cheez hai ... aadmi toh aadmi, janwar bhi dost ban jaata hai
Rishi Kapoor
Shera ki suvar ki khopdi mein lomdi ki tarah chalaak dimag hai ... pahad khodkar chuha nikaal leta hai ... kabar khodkar murda nikaal leta hai ... aur aatma ka gala dabakar parmatma ka pata nikaal leta hai
Danny Denzongpa
Saanp aur paap hamesha chaap chhod jaate hai
Nana Patekar
Saanp ko fann uthane se pehle kuchalna, main achchi tarah janta hoon
Prem Chopra
Tum toh jungle ke junglee janwar ki junglee chokri lagti ho
Jackie Shroff
Politics mein itna keechad hai ki us mein kamal nahi khilte ... sirf keede rhengte hai
Mahie Gill
Aadmi aur bandar, kitne bhi budha jaaye ... gulati maarna nahi bhoolte
Waqt ek parinda hai ... aur woh us hi ke saath hai joh zinda hai
Krishna Abhishek
Politics sher ki sawari hai ... ek baar utar gaye toh jaan se bhi haath dho behetoge
Sanjay Dutt
Yeh joh babbar sher hota hai na ... ya toh yeh khud mar jaata hai ya maar deta hai ... magar apna ilaaka nahi chhodta
Sher chahe jitna hi taqatwar kyun na ho ... jhund mein aake jungle ke kutte bhi uska shikaar kar lete hai
Amit Sadh
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory