Daulat se zindagi ka har jazba, har lamha khareeda ja sakta hai
Maut ko ek baar dhokha dene se ... zindagi lambi nahi ho jaati
Jee toh janwar bhi lete hai ... lekin insaan ussi ko kehte hai joh samajhdari se jee sake
Achcha yaar pehle mar jaye ... toh phir hisse mein sivah aasunyon ke aur kuch chhodkar nahi jaata
Kisi aadmi ki aukaat janane ke liye ... uske jooton par hi ek nazar dalna kaafi hai
Aadmi chahe kitna bhi sangdil ho ... lekin uske andar ka insaan ekdum mar nahi jaata ... purani yaadein uska peecha nahi chhodti
Main tumhe zinda nahi chhodunga ... joh aag tumne mere seene mein lagayi hai ... woh tumhare khoon se bujhegi
Hum waqt ka intezaar nahi karte ... waqt hamara intezaar karta hai
Baat pistol ki goli hoti hai ... joh ek baar nikal jaye doobara vapas nahi aati
Taqatwar se taqatwar insaan bhi kuch ghadiyon mein kamzor se kamzor ho jaata hai
Khoj ek nasha hai, ek ishq hai ... jis mein khoj karne waala khoya rehta hai
Zukham kamzor aadmi ko hota hai
Sabzi tarkari garam garam ... arre malik kare hazam hazam
Jab koi kisi ke liye bahut kuch karta hai ... toh ek naa bahut bada ghaav bhi lagati hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory