Chook gaye do nain se aur thokaren kha gaye paon ... moorakh mukhiya bhool kare aur bhugte saara gaon
Sharif ghar ki ladkiyan ... apne maa baap ki izaazat ke bagair khwab tak nahin dekhti
Sukh na rahe toh dukh apas mein milkar baant lena chahiye
Kutta bhi jahan tukda khata hai wahan wafadari dikhata hai ... tujhe toh kutta kehna bhi kutte ki beizzati karna hai
Zabaan aadmi ko neecha dikha deti hai ... usse zyada nahi chalana chahiye
Ameer ameer hota hai, gareeb gareeb ... yeh zindagi ke sikke ke do alag alag pehlu hai joh kabhi ek doosre se mil nahi sakte ... zameen aur aasmaan sirf shayar ke khayalon mein milte hai
Jab tu bahar se kisi daulat waale ka bangla dekhega na ... toh tujhe lagega ki bhagwan ne isse bahut kuch diya hai ... par jab andar jaake dekhega ... toh tujhe lagega bhagwan ne isse bahut kuch cheen bhi liya hai
Punya kamaye kikri aur peepal daan kare ... jungle jaisa vaid kahan joh sabka dhyan kare
Kaam kare so soonth kare aur kuch kare afeem ... karmo ki gath prani bhukte theli bhare hakeem
Jab sar ke upar se chatt aur pair ke neeche se naram carpet hat jayega ... tab pata chalega isse ki bahar ki duniya baap ka ghar nahi hai
Atmavishvas se insaan ko hi nahi ... bhagwan ko bhi jeeta ja sakta hai
Musafir jab manzil se bhatak jaata hai ... toh waqt ki tapadein usse aur bhi gumrah kar deti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory